mera pasandida manzar
mujhe un vādiyoñ meñ sair kī ḳhvāhish nahīñ baaqī
mujhe un bādaloñ se raaz kī bāteñ nahīñ karnī
mujhe un dhund kī chādar meñ ab lipTe nahīñ rahnā
mujhe us ālam-e-yaḳh-bastagī se kuchh nahīñ kahnā
mujhe mauhūm lafzoñ kā shanāsā.ī nahīñ banñā
mujhe is kār-e-pur-asrār kā daa.ī nahīñ banñā
maiñ ḳhvāboñ ke darīchoñ meñ khaḌā rahne se qāsir huuñ
maiñ zinda zindagī kī sā.atoñ kā ek shā.ir huuñ
mujhe ik lahlahāte jhūlte paikar kī ḳhvāhish hai
mujhe in manzaroñ meñ aise ik manzar kī ḳhvāhish hai
mujhe un wadiyon mein sair ki KHwahish nahin baqi
mujhe un baadalon se raaz ki baaten nahin karni
mujhe un dhund ki chadar mein ab lipTe nahin rahna
mujhe us aalam-e-yaKH-bastagi se kuchh nahin kahna
mujhe mauhum lafzon ka shanasai nahin banna
mujhe is kar-e-pur-asrar ka dai nahin banna
main KHwabon ke darichon mein khaDa rahne se qasir hun
main zinda zindagi ki saaton ka ek shair hun
mujhe ek lahlahate jhulte paikar ki KHwahish hai
mujhe in manzaron mein aise ek manzar ki KHwahish hai
- Book : Lauh-e-Jahan (Pg. 92)
- Author : Prem Kumar 'Nazar'
- Publication : Adabistan Publications Delhi-95 (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.