mera raj-kumar
bahut ḳhush thī maiñ aaj
na hotī maiñ kaash
kisī kī zarūr nazar lagī hogī
kisī ko to maiñ ḳhush burī lagī hoñgī
kisī ne to mere aañsū māñge hoñge
kuchh to mujh se vo chāhte hoñge
ki nazar se andhī laḌkī ko
ḳhushiyāñ nazar na aa.eñ
ki phir se koī tūfān is par
ġhamoñ kā pahāḌ laa.e
aur dekho to ye nazar bhī kyā ḳhuub khelī
mujh se merī har hañsī le lī
zindagī chhīn mujhe raah par lā diyā
ai nazar ye tū ne kyā kiyā
mujhe aisā patī de diyā
jānte haiñ maiñ bahut ḳhush thī aaj
ye din pahle aaya hotā kaash
maiñ sañvar saj rahī thī
dil meñ shahnā.ī baj rahī thī
koī to rāj-kumār thā
jo mujhe paane ko be-qarār thā
mujh se pyaar bahut vo kartā thā
mujhe khone se bhī Dartā thā
is liye to
haañ roī thī maiñ
par vidā.ī par bhī ḳhush thī
dil maiñ ummīdeñ kuchh thī
chehra un kā dekhnā merā sapnā thā
vo chehra jo ab se merā apnā thā
vo chehra jise mahsūs kiyā karūñgī
na jaanā vo chehra jis se maiñ roz Darā karūñgī
kyūñki vo chehra koī to rāj-kumār thā
mujhe paane ko be-qarār thā
vidā.ī ke baad kī raat aa.ī thī
maiñ pahlī baar pyaar se kuchh yuuñ sharmā.ī thī
āñkheñ na sahī par dil mere paas thā
us dil meñ basā ab koī ḳhaas thā
maiñ kaan lagā kar suntī rahī
bin āñkheñ bhī rāheñ taktī rahī
isī soch meñ rainā bīt.tī ga.ī
merī ḳhushiyāñ har soch se jīt.tī ga.ī
āḳhir pyaar maiñ ne paaya thā
ye pyaar mujhe jannat meñ laaya thā
biitī raat kā phir intizār rukā
ek dam se mere kamre kā darvāza khulā
isī beach meñ kuchh aahaT huī
jis se ḳhushī nahīñ mujhe ghabrāhaT huī
kaun hai merā barso purānā savāl thā
tumhārā patī is javāb kā ḳhayāl thā
aisā lagā maano ye akele na the
saath meñ in ke kuchh mehmāñ the
shāyad chheḌne aa.e hoñge
mujh tak in ko laa.e hoñge
par nahīñ ye āvāzeñ qarīb thī
behad qarīb
jaise vo kamre meñ maujūd hoñ
jaise ḳhatre meñ merā vajūd ho
maiñ uThne vaalī thī
kuchh pūchhne vaalī thī
ke tabhī ek haath rukā mere kandhoñ par
phisalne lagā mere gāloñ par mere bāloñ par
mujhe achchhā na lagā
ye pyaar sachchā na lagā
kuchh to gaḌbaḌ chal rahī thī
merī ruuh jal rahī thī
kuchh kahnā chāhtī thī
kuchh jānñā chāhtī thī
kuchh pūchhnā chāhtī thī
maiñ sahī thī vo akele na the
par saath meñ un ke mehmāñ na the
vo haivān the ye haivān the
mujhe parat dar parat vo kholte ga.e
maiñ chillātī rahī vo mujhe nochte ga.e
baarī baarī se merī jism shikār huā
merā dil bharosa sab taar taar huā
us kī hañsī mujhe chubh rahī thī
uñgliyāñ vo mujhe dikhī rahī thī
maiñ dekh nahīñ saktī thī
par an-dekhī kaise kartī
maiñ ne ḳhvāb bune the
kuchh lamhe chune the
un ke saath bitāne ko
unheñ apnā banāne ko
kyūñki
ye vo rāj-kumār thā
jo mujhe paane ko be-qarār thā
mujh se pyaar bahut kartā thā
mujhe khone se bhī Dartā thā
is liye to
merī izzat ko tār-tār kiyā
mujhe toḌ diyā mujhe maar diyā
jaane man gintī mat roknā gintī rahnā
jaane man kyuuñ maza to aa rahā hai na
aise ek dulhan kī tārīf ho rahī thī
aise ek dulhan kī qismat so rahī thī
aise ek raat shānt ro rahī thī
aise merī suhāg raat ho rahī thī
maiñ tham se gir ga.ī
lagā unheñ maiñ mar ga.ī
sab jaane lage
to mere patī mere paas aane lage
mujh se pyaar jo karte the
mujhe khone se jo Darte the
mujhe pyaar se aa kar vo kosne lage
be-jān sharīr ko phir vo nochne lage
sharāb ke nashe meñ vahīñ paḌe Dolne lage
haath maroḌ kar
ḳharāb raat ko bolne lage
phir achānak ek dard ne jaise tamācha maarā
na jaane kahāñ se himmat kā sailāb aaya
himmat jo dil TūTne kī thī
himmat jo ḳhvāb rūThne kī thī
himmat jo bhaag phūTne kī thī
himmat jis kī zarūrat na jaane kitnī thī
maiñ ne jhaT se dhakkā diyā
un kī hālat ko pakkā kiyā
maiñ kamre meñ ghūmne lagī
shāyad kuchh DhūñDhne lagī
idhar udhar haath pherne lagī
pahlī baar maiñ āñkh-micholī khelne lagī
kahīñ to kuchh mil jaa.e
jis se merī jaan bach paa.e
maiñ bhaag sako yahāñ se bach kar kaise
par sabaq un ko sikhā.ūñ kaise
tabhī kuchh haath meñ piinī chiiz lagī
sho.aloñ ko jaise māchis milī
maiñ ne vahī uThā kar de maarā
ek do tiin
jaane man gintī mat roknā ginte rahnā
jaane man kyuuñ maza to aa rahā hai na
bilkul
maiñ gintī nahīñ rokūñ gī gintī rahūñgī
tere andar se ḳhuun ban kar girtī rahūñgī
un kī chīkh sukūn de rahī thī
har aah dobāra ginñe kā junūn de rahī thī
par mujhe nikalnā thā
so bach kar vahāñ se bhaag niklī
jab aa.ī hoñ yahāñ to bas ek chīkh niklī
āñkhoñ ke bin maiñ ne duniyā dekh lī
apne hī hāthoñ se maiñ ne jañg jiit lī
ab jā kar kahīñ na.ī duniyā dekhūñgī
phir kahīñ ke logoñ se kuchh nayā dekhūñgī
to us ke liye nikaltī huuñ
zarā pairoñ meñ dam bhartī huuñ
par us se pahle
jab itnā sunā to naam bhī sunte jaao
merā kaam bhī to sunte jaao
maiñ hāshiya andhī huuñ
khudā kī vo bandī huuñ
jo andhoñ ko laḌnā sikhātī huuñ
jab koī chiiz Darātī hai
un par koī musībat aatī hai
maiñ hāshiya andhī huuñ
bahut KHush thi main aaj
na hoti main kash
kisi ki zarur nazar lagi hogi
kisi ko to main KHush buri lagi hongi
kisi ne to mere aansu mange honge
kuchh to mujh se wo chahte honge
ki nazar se andhi laDki ko
KHushiyan nazar na aaen
ki phir se koi tufan is par
ghamon ka pahaD lae
aur dekho to ye nazar bhi kya KHub kheli
mujh se meri har hansi le li
zindagi chhin mujhe rah par la diya
ai nazar ye tu ne kya kiya
mujhe aisa pati de diya
jaante hain main bahut KHush thi aaj
ye din pahle aaya hota kash
main sanwar saj rahi thi
dil mein shahnai baj rahi thi
koi to raj-kumar tha
jo mujhe pane ko be-qarar tha
mujh se pyar bahut wo karta tha
mujhe khone se bhi Darta tha
is liye to
han roi thi main
par widai par bhi KHush thi
dil main ummiden kuchh thi
chehra un ka dekhna mera sapna tha
wo chehra jo ab se mera apna tha
wo chehra jise mahsus kiya karungi
na jaana wo chehra jis se main roz Dara karungi
kyunki wo chehra koi to raj-kumar tha
mujhe pane ko be-qarar tha
widai ke baad ki raat aai thi
main pahli bar pyar se kuchh yun sharmai thi
aankhen na sahi par dil mere pas tha
us dil mein basa ab koi KHas tha
main kan laga kar sunti rahi
bin aankhen bhi rahen takti rahi
isi soch mein raina bitti gai
meri KHushiyan har soch se jitti gai
aaKHir pyar main ne paya tha
ye pyar mujhe jannat mein laya tha
biti raat ka phir intizar ruka
ek dam se mere kamre ka darwaza khula
isi beach mein kuchh aahaT hui
jis se KHushi nahin mujhe ghabrahaT hui
kaun hai mera barso purana sawal tha
tumhaara pati is jawab ka KHayal tha
aisa laga mano ye akele na the
sath mein in ke kuchh mehman the
shayad chheDne aae honge
mujh tak in ko lae honge
par nahin ye aawazen qarib thi
behad qarib
jaise wo kamre mein maujud hon
jaise KHatre mein mera wajud ho
main uThne wali thi
kuchh puchhne wali thi
ke tabhi ek hath ruka mere kandhon par
phisalne laga mere galon par mere baalon par
mujhe achchha na laga
ye pyar sachcha na laga
kuchh to gaDbaD chal rahi thi
meri ruh jal rahi thi
kuchh kahna chahti thi
kuchh jaanna chahti thi
kuchh puchhna chahti thi
main sahi thi wo akele na the
par sath mein un ke mehman na the
wo haiwan the ye haiwan the
mujhe parat dar parat wo kholte gae
main chillati rahi wo mujhe nochte gae
bari bari se meri jism shikar hua
mera dil bharosa sab tar tar hua
us ki hansi mujhe chubh rahi thi
ungliyan wo mujhe dikhi rahi thi
main dekh nahin sakti thi
par an-dekhi kaise karti
main ne KHwab bune the
kuchh lamhe chune the
un ke sath bitane ko
unhen apna banane ko
kyunki
ye wo raj-kumar tha
jo mujhe pane ko be-qarar tha
mujh se pyar bahut karta tha
mujhe khone se bhi Darta tha
is liye to
meri izzat ko tar-tar kiya
mujhe toD diya mujhe mar diya
jaane man ginti mat rokna ginti rahna
jaane man kyun maza to aa raha hai na
aise ek dulhan ki tarif ho rahi thi
aise ek dulhan ki qismat so rahi thi
aise ek raat shant ro rahi thi
aise meri suhag raat ho rahi thi
main tham se gir gai
laga unhen main mar gai
sab jaane lage
to mere pati mere pas aane lage
mujh se pyar jo karte the
mujhe khone se jo Darte the
mujhe pyar se aa kar wo kosne lage
be-jaan sharir ko phir wo nochne lage
sharab ke nashe mein wahin paDe Dolne lage
hath maroD kar
KHarab raat ko bolne lage
phir achanak ek dard ne jaise tamacha mara
na jaane kahan se himmat ka sailab aaya
himmat jo dil TuTne ki thi
himmat jo KHwab ruThne ki thi
himmat jo bhag phuTne ki thi
himmat jis ki zarurat na jaane kitni thi
main ne jhaT se dhakka diya
un ki haalat ko pakka kiya
main kamre mein ghumne lagi
shayad kuchh DhunDhne lagi
idhar udhar hath pherne lagi
pahli bar main aankh-micholi khelne lagi
kahin to kuchh mil jae
jis se meri jaan bach pae
main bhag sako yahan se bach kar kaise
par sabaq un ko sikhaun kaise
tabhi kuchh hath mein pini chiz lagi
shoalon ko jaise machis mili
main ne wahi uTha kar de mara
ek do tin
jaane man ginti mat rokna ginte rahna
jaane man kyun maza to aa raha hai na
bilkul
main ginti nahin rokun gi ginti rahungi
tere andar se KHun ban kar girti rahungi
un ki chikh sukun de rahi thi
har aah dobara ginne ka junun de rahi thi
par mujhe nikalna tha
so bach kar wahan se bhag nikli
jab aai hon yahan to bas ek chikh nikli
aankhon ke bin main ne duniya dekh li
apne hi hathon se main ne jang jit li
ab ja kar kahin nai duniya dekhungi
phir kahin ke logon se kuchh naya dekhungi
to us ke liye nikalti hun
zara pairon mein dam bharti hun
par us se pahle
jab itna suna to nam bhi sunte jao
mera kaam bhi to sunte jao
main hashiya andhi hun
khuda ki wo bandi hun
jo andhon ko laDna sikhati hun
jab koi chiz Daraati hai
un par koi musibat aati hai
main hashiya andhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.