mera saqi
kabhī jo ruuh pe hotī hai be-hisī taarī
dimāġh kaif se hotā hai yak-qalam aarī
pukārtā hai jahān-e-fareb-kār mujhe
saman-kada nazar aatā hai ḳhārzār mujhe
maiñ phuul chhoḌ ke kāñTe pasand kartā huuñ
ḳhazaf uThā ke tijorī meñ band kartā huuñ
buland-bāl jo hotā nahīñ hai murġh-e-ḳhayāl
qavā-e-fikr pe chhātā hai mere izmehlāl
kabhī jo chehra-e-ummīd zard hotā hai
kabhī jo shola mire dil kā zard hotā hai
ḳhudī o ḳhud-nigarī mujh pe chhā.ī jaatī hai
durusht-ḳhūī mire dil meñ raah paatī hai
mizāj-e-ishq meñ hotī hai jab namī paidā
dil o dimāġh meñ hotī hai barhamī paidā
to merā saaqī mujhe hañs ke narm kartā hai
nazar milā ke mire dil ko garm kartā hai
kabhi jo ruh pe hoti hai be-hisi tari
dimagh kaif se hota hai yak-qalam aari
pukarta hai jahan-e-fareb-kar mujhe
saman-kada nazar aata hai KHarzar mujhe
main phul chhoD ke kanTe pasand karta hun
KHazaf uTha ke tijori mein band karta hun
buland-baal jo hota nahin hai murgh-e-KHayal
qawa-e-fikr pe chhata hai mere izmehlal
kabhi jo chehra-e-ummid zard hota hai
kabhi jo shola mere dil ka zard hota hai
KHudi o KHud-nigari mujh pe chhai jati hai
durusht-KHui mere dil mein rah pati hai
mizaj-e-ishq mein hoti hai jab nami paida
dil o dimagh mein hoti hai barhami paida
to mera saqi mujhe hans ke narm karta hai
nazar mila ke mere dil ko garm karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.