mera saya
mujhe tum se koī mohabbat na ulfat
ta.alluq bhī ab hai barā-e-ta.alluq
magar tum se jab bhī milā huuñ
mujhe merā saaya
jise maiñ vahīñ chhoḌ aayā
jahāñ vo ḳhayāloñ kī vaadī meñ
ḳhvāhish kī titlī ke pīchhe uḌā jā rahā thā
tumhārī ghanī zulf kī badliyoñ meñ
zamīñ se bahut duur lekin
mere pair meñ Dor aisī bañdhī thī
ki jis ne mujhe badliyoñ se uThā kar
zamīñ par biThā kar
mere chāroñ jānib ka.ī dā.ere bun diye haiñ
hai dushvār jin se nikalnā
magar tum se jab bhī milā huuñ
mujhe merā saaya bahut yaad aayā
mujhe tum se koi mohabbat na ulfat
talluq bhi ab hai bara-e-talluq
magar tum se jab bhi mila hun
mujhe mera saya
jise main wahin chhoD aaya
jahan wo KHayalon ki wadi mein
KHwahish ki titli ke pichhe uDa ja raha tha
tumhaari ghani zulf ki badliyon mein
zamin se bahut dur lekin
mere pair mein Dor aisi bandhi thi
ki jis ne mujhe badliyon se uTha kar
zamin par biTha kar
mere chaaron jaanib kai daere bun diye hain
hai dushwar jin se nikalna
magar tum se jab bhi mila hun
mujhe mera saya bahut yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.