mera safar
ham-chū sabza bār-hā roīda-em
(rūmī)
My Voyage
phir ik din aisā aa.egā
āñkhoñ ke diye bujh jā.eñge
hāthoñ ke kañval kumhlā.eñge
aur barg-e-zabāñ se nutq o sadā
kī har titlī uḌ jā.egī
ik kaale samundar kī tah meñ
kaliyoñ kī tarah se khiltī huī
phūloñ kī tarah se hañstī huī
saarī shakleñ kho jā.eñgī
ḳhuuñ kī gardish dil kī dhaḌkan
sab rāgniyāñ so jā.eñgī
aur niilī fazā kī maḳhmal par
hañstī huī hiire kī ye kanī
ye merī jannat merī zamīñ
is kī sub.heñ is kī shāmeñ
be-jāne hue be-samjhe hue
ik musht-e-ġhubār-e-insāñ par
shabnam kī tarah ro jā.eñgī
har chiiz bhulā dī jā.egī
yādoñ ke hasīñ but-ḳhāne se
har chiiz uThā dī jā.egī
phir koī nahīñ ye pūchhegā
'sardār' kahāñ hai mahfil meñ
‘Like grass, I've sprouted again and again.'
-Rumi
One such day will come again
When stars in eyes are extinguished
When lotuses in hands are wilted
And from tongue's leaf
The butterfly of sound ’n speech will fly away.
In the depths of a dark ocean
Blooming like buds
Laughing like flowers
All faces will disappear.
Blood flow, heart beat
All melodies will go to sleep
And on the velvet blue air
This twinkling diamond sliver
My earth, my paradise
Its mornings, its evenings
Without knowing, without understanding
Will weep, dew-like
On a fistful of dust that is man.
All things will be forgotten
From the beautiful temple of memories
All things will be removed
Then no one will ever ask
Where has Sardar gone?
But I'll come here again
I'll speak through children's mouths
I'll sing in songs of birds
When seeds will smile in the earth
And tips of shoots
Will tease layers of soil
In every leaf, in every bud
I'll open my eyes.
On my green palms
I'll collect drops of dew
Like colour of henna, the rhythm of the ghazal
I'll become the manner of speech
Like the face of a new bride
I'll shine through every veil.
When wintry breezes bring
Autumn season to our valley
Beneath the feet of young travellers
In the crunching of dried leaves
Echoes of my laughter will float.
All golden streams of earth
All the blue lakes of sky
Will be filled with my being
And the whole world will see
That every story is my story
Every lover here is Sardar
And every beloved is Sultana.
I am a fleeting moment
In the magic house of time
I'm a restive water-bead
Forever busy travelling
From the heart of past's wine jug
To the goblet of the future
I sleep, I wake
And slumber once again
For centuries I'm in play
Death makes me immortal.
lekin maiñ yahāñ phir ā.ūñgā
bachchoñ ke dahan se bolūñgā
chiḌiyoñ kī zabāñ se gā.uñgā
jab biij hañseñge dhartī meñ
aur koñpleñ apnī uñglī se
miTTī kī tahoñ ko chheḌeñgī
maiñ pattī pattī kalī kalī
apnī āñkheñ phir kholūñgā
sarsabz hathelī par le kar
shabnam ke qatre taulūñgā
maiñ rang-e-hinā āhañg-e-ġhazal
andāz-e-suḳhan ban jā.ūñgā
ruḳhsār-e-urūs-e-nau kī tarah
har āñchal se chhan jā.ūñgā
jāḌoñ kī havā.eñ dāman meñ
jab fasl-e-ḳhizāñ ko lā.eñgī
rah-rau ke javāñ qadmoñ ke tale
sūkhe hue pattoñ se mere
hañsne kī sadā.eñ ā.eñgī
dhartī kī sunahrī sab nadiyāñ
ākāsh kī niilī sab jhīleñ
hastī se mirī bhar jā.eñgī
aur saarā zamāna dekhegā
har qissa mirā afsāna hai
har āshiq hai 'sardār' yahāñ
har māshūqa 'sultānā' hai
maiñ ek gurezāñ lamha huuñ
ayyām ke afsūñ-ḳhāne meñ
maiñ ek taḌaptā qatra huuñ
masrūf-e-safar jo rahtā hai
maazī kī surāhī ke dil se
mustaqbil ke paimāne meñ
maiñ sotā huuñ aur jāgtā huuñ
aur jaag ke phir so jaatā huuñ
sadiyoñ kā purānā khel huuñ maiñ
maiñ mar ke amar ho jaatā huuñ
ham-chu sabza bar-ha roida-em
(rumi)
My Voyage
phir ek din aisa aaega
aankhon ke diye bujh jaenge
hathon ke kanwal kumhlaenge
aur barg-e-zaban se nutq o sada
ki har titli uD jaegi
ek kale samundar ki tah mein
kaliyon ki tarah se khilti hui
phulon ki tarah se hansti hui
sari shaklen kho jaengi
KHun ki gardish dil ki dhaDkan
sab ragniyan so jaengi
aur nili faza ki maKHmal par
hansti hui hire ki ye kani
ye meri jannat meri zamin
is ki subhen is ki shamen
be-jaane hue be-samjhe hue
ek musht-e-ghubar-e-insan par
shabnam ki tarah ro jaengi
har chiz bhula di jaegi
yaadon ke hasin but-KHane se
har chiz uTha di jaegi
phir koi nahin ye puchhega
'sardar' kahan hai mahfil mein
‘Like grass, I've sprouted again and again.'
-Rumi
One such day will come again
When stars in eyes are extinguished
When lotuses in hands are wilted
And from tongue's leaf
The butterfly of sound ’n speech will fly away.
In the depths of a dark ocean
Blooming like buds
Laughing like flowers
All faces will disappear.
Blood flow, heart beat
All melodies will go to sleep
And on the velvet blue air
This twinkling diamond sliver
My earth, my paradise
Its mornings, its evenings
Without knowing, without understanding
Will weep, dew-like
On a fistful of dust that is man.
All things will be forgotten
From the beautiful temple of memories
All things will be removed
Then no one will ever ask
Where has Sardar gone?
But I'll come here again
I'll speak through children's mouths
I'll sing in songs of birds
When seeds will smile in the earth
And tips of shoots
Will tease layers of soil
In every leaf, in every bud
I'll open my eyes.
On my green palms
I'll collect drops of dew
Like colour of henna, the rhythm of the ghazal
I'll become the manner of speech
Like the face of a new bride
I'll shine through every veil.
When wintry breezes bring
Autumn season to our valley
Beneath the feet of young travellers
In the crunching of dried leaves
Echoes of my laughter will float.
All golden streams of earth
All the blue lakes of sky
Will be filled with my being
And the whole world will see
That every story is my story
Every lover here is Sardar
And every beloved is Sultana.
I am a fleeting moment
In the magic house of time
I'm a restive water-bead
Forever busy travelling
From the heart of past's wine jug
To the goblet of the future
I sleep, I wake
And slumber once again
For centuries I'm in play
Death makes me immortal.
lekin main yahan phir aaunga
bachchon ke dahan se bolunga
chiDiyon ki zaban se gaunga
jab bij hansenge dharti mein
aur konplen apni ungli se
miTTi ki tahon ko chheDengi
main patti patti kali kali
apni aankhen phir kholunga
sarsabz hatheli par le kar
shabnam ke qatre taulunga
main rang-e-hina aahang-e-ghazal
andaz-e-suKHan ban jaunga
ruKHsar-e-urus-e-nau ki tarah
har aanchal se chhan jaunga
jaDon ki hawaen daman mein
jab fasl-e-KHizan ko laengi
rah-rau ke jawan qadmon ke tale
sukhe hue patton se mere
hansne ki sadaen aaengi
dharti ki sunahri sab nadiyan
aakash ki nili sab jhilen
hasti se meri bhar jaengi
aur sara zamana dekhega
har qissa mera afsana hai
har aashiq hai 'sardar' yahan
har mashuqa 'sultana' hai
main ek gurezan lamha hun
ayyam ke afsun-KHane mein
main ek taDapta qatra hun
masruf-e-safar jo rahta hai
mazi ki surahi ke dil se
mustaqbil ke paimane mein
main sota hun aur jagta hun
aur jag ke phir so jata hun
sadiyon ka purana khel hun main
main mar ke amar ho jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.