mera safar
kirnoñ kī parvāreñ TuuT ga.iiñ
kitne sūraj Duub ga.e
kaalī sadiyoñ kā zahr
mere safar meñ
kitnī tahzīboñ ke bante miTte naqsh
mere safar meñ
maiñ is safar meñ
vaqt ke zālim rath se
kitnī baar girā huuñ
TuuT gayā huuñ
lekin phir bhī zinda huuñ
kirnon ki parwaren TuT gain
kitne suraj Dub gae
kali sadiyon ka zahr
mere safar mein
kitni tahzibon ke bante miTte naqsh
mere safar mein
main is safar mein
waqt ke zalim rath se
kitni bar gira hun
TuT gaya hun
lekin phir bhi zinda hun
- Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 44)
- Author : Khaleel Tanveer
- Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.