mera shahr
jahāñ maiñ rahtā huuñ
vahāñ sab rahte haiñ
mere ghar ke
qarīb hī
ek gadhā rahtā hai
jo baḌe ḳhulūs se miltā hai
vahīñ pe
ek lomḌī bhī rahtī hai
jis ke har bol meñ makkārī hai
vahīñ pe rahte haiñ
kavve gidh ullū siyār lakaḌbagghe
aur
phaaḌ khāne vaale shahr bhī
ab maiñ sochtā huuñ
maiñ in logoñ ke beach rahtā huuñ
yā ye log
mere beach rahte haiñ
jahan main rahta hun
wahan sab rahte hain
mere ghar ke
qarib hi
ek gadha rahta hai
jo baDe KHulus se milta hai
wahin pe
ek lomDi bhi rahti hai
jis ke har bol mein makkari hai
wahin pe rahte hain
kawwe gidh ullu siyar lakaDbagghe
aur
phaD khane wale shahr bhi
ab main sochta hun
main in logon ke beach rahta hun
ya ye log
mere beach rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.