mera us ka sath
mere bistar meñ
dīpak kī tarah
mere saath
kaun jaltā hai
kaun hai
jo mere saath
duur bahut duur tak
jaltā hai
mere ġhamoñ ke saath
merī haDDiyoñ meñ utartā hai
kaun hai
ga.e raat jo
mere shānoñ pe sar rakh
mujh ko baḌe pyaar se kahtā hai
Thiik hai
sab Thiik ho jā.egā
kyūñki
tum akele to nahīñ ho
mere bistar mein
dipak ki tarah
mere sath
kaun jalta hai
kaun hai
jo mere sath
dur bahut dur tak
jalta hai
mere ghamon ke sath
meri haDDiyon mein utarta hai
kaun hai
gae raat jo
mere shanon pe sar rakh
mujh ko baDe pyar se kahta hai
Thik hai
sab Thik ho jaega
kyunki
tum akele to nahin ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.