mera watan
aiman kā nuur agar hai to mere vatan meñ hai
ab tak bhī shān-e-tūr isī ujḌe chaman meñ hai
donoñ haiñ terī yaad meñ ālūda-e-ġharaz
jo aib shaiḳh meñ hai vahī barhaman meñ hai
lipTā huā hai daur-e-ḳhizāñ bhī bahār se
donoñ kā rañg lāla-e-ḳhūnīñ-kafan meñ hai
kyuuñ dil meñ DhūñDte ho shagufta-mizājiyāñ
pahlī sī ab bahār kahāñ is chaman meñ hai
zarre chamak rahe haiñ tirī rahguzār ke
hai terā naqsh-e-pā ki charāġh anjuman meñ hai
nākām hasratoñ kī yahī to hai yādgār
dāġhoñ kā jo hujūm dil-e-pur-mehan meñ hai
ye bhī ḳhabar hai gauhar-e-maqsad nahīñ yahāñ
dil terā phir bhī ġharq furāt-o-jaman meñ hai
azm-e-safar bahār meñ ai 'arsh' kis liye
duniyā kī har bahār bahār-e-vatan meñ hai
aiman ka nur agar hai to mere watan mein hai
ab tak bhi shan-e-tur isi ujDe chaman mein hai
donon hain teri yaad mein aaluda-e-gharaz
jo aib shaiKH mein hai wahi barhaman mein hai
lipTa hua hai daur-e-KHizan bhi bahaar se
donon ka rang lala-e-KHunin-kafan mein hai
kyun dil mein DhunDte ho shagufta-mizajiyan
pahli si ab bahaar kahan is chaman mein hai
zarre chamak rahe hain teri rahguzar ke
hai tera naqsh-e-pa ki charagh anjuman mein hai
nakaam hasraton ki yahi to hai yaadgar
daghon ka jo hujum dil-e-pur-mehan mein hai
ye bhi KHabar hai gauhar-e-maqsad nahin yahan
dil tera phir bhi gharq furaat-o-jaman mein hai
azm-e-safar bahaar mein ai 'arsh' kis liye
duniya ki har bahaar bahaar-e-watan mein hai
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 416)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Hujwiri Publisher H. 811, A Androon, Akbari Gate, Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.