mera watan
gautam hue ki nānak kaakī hue ki chishtī
loadī hue ki tuġhlaq sayyad hue ki ḳhiljī
aa aa ke jis meñ un kī miltī ga.ī hai miTTī
nā-ittifāqiyoñ ne jis par girā.ī bijlī
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai
ūñche pahāḌ jis ke the rāstoñ ko roke
dushman ko jis ke dariyā laate the par Dubo ke
ilm-o-hunar kī daulat jis ne luTā.ī so ke
bachche gadā haiñ jis ke sab apnā maal kho ke
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai
daulat kā jis kī aalam meñ chaar sū thā charchā
jis ke javāhroñ ne tājoñ ko nuur baḳhshā
ġhairoñ kā jis zamīñ kī khetī ne peT paalā
adbār ne palaT dī aa kar jahāñ kī kaayā
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai
bārish kī tarah jis meñ paḌtī thī ḳhair-o-barkat
miltī thī jis zamīñ meñ rozī bilā mashaqqat
saare jahāñ ne jā kar jis kī uḌaa.ī daulat
jis jā bar aa.ī apnī bad-kāriyoñ kī nik.hat
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai
bahtā thā jis zamīñ meñ ilm-o-hunar kā dariyā
qaumoñ ne baarī baarī chhāpa hai jis pe maarā
bām-e-falak pe chaḌh kar dekhā hai jis ne nīchā
jaur-e-falak ne jis jā ulTī bahā.ī gañgā
merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai
gautam hue ki nanak kaki hue ki chishti
loadi hue ki tughlaq sayyad hue ki KHilji
aa aa ke jis mein un ki milti gai hai miTTi
na-ittifaqiyon ne jis par girai bijli
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
unche pahaD jis ke the raston ko roke
dushman ko jis ke dariya late the par Dubo ke
ilm-o-hunar ki daulat jis ne luTai so ke
bachche gada hain jis ke sab apna mal kho ke
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
daulat ka jis ki aalam mein chaar su tha charcha
jis ke jawahron ne tajon ko nur baKHsha
ghairon ka jis zamin ki kheti ne peT pala
adbar ne palaT di aa kar jahan ki kaya
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
barish ki tarah jis mein paDti thi KHair-o-barkat
milti thi jis zamin mein rozi bila mashaqqat
sare jahan ne ja kar jis ki uDai daulat
jis ja bar aai apni bad-kariyon ki nikhat
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
bahta tha jis zamin mein ilm-o-hunar ka dariya
qaumon ne bari bari chhapa hai jis pe mara
baam-e-falak pe chaDh kar dekha hai jis ne nicha
jaur-e-falak ne jis ja ulTi bahai ganga
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.