mera watan hindostan
merā vatan hindostāñ har raah jis kī kahkashāñ
koh-e-girāñ se kam nahīñ jis ke jiyāle naujavāñ
ye vīr-o-gautam kī zamīñ amn-o-ahinsā kā chaman
akbar ke ḳhvāboñ kā jahāñ chishtī-o-nānak kā vatan
sham.eñ hazāroñ haiñ magar hai ektā kī anjuman
tahzīb kā gahvāra haiñ gañg-o-jaman kī vādiyāñ
merā vatan hindostāñ
tārīḳh kī azmat hai ye jamhūriyat kī shaan hai
rūhāniyat kī ruuh hai sab maz.haboñ kī jaan hai
ye apnā hindostān hai ye apnā hindostān hai
hāsil yahāñ insān ko har tarah kī āzādiyāñ
merā vatan hindostāñ
jab dil se dil milte ga.e miTte ga.e sab fāsle
ye aaj kā naġhma nahīñ sadiyoñ ke haiñ ye silsile
sadiyoñ se mil kar hī baḌhe sab ahl-e-dil ke qāfile
ik saath uThtī hai yahāñ āvāz-e-nāqūs-o-azāñ
merā vatan hindostāñ
tārīḳh ke is moḌ par ham farz se ġhāfil nahīñ
qaabū na jis par pā sakeñ aisī koī mushkil nahīñ
jis ko na ham sar kar sakeñ aisī koī manzil nahīñ
haañ bāñkpan kī shaan se hai kārvāñ apnā ravāñ
merā vatan hindostāñ
mera watan hindostan har rah jis ki kahkashan
koh-e-giran se kam nahin jis ke jiyale naujawan
ye wir-o-gautam ki zamin amn-o-ahinsa ka chaman
akbar ke KHwabon ka jahan chishti-o-nanak ka watan
shamen hazaron hain magar hai ekta ki anjuman
tahzib ka gahwara hain gang-o-jaman ki wadiyan
mera watan hindostan
tariKH ki azmat hai ye jamhuriyat ki shan hai
ruhaniyat ki ruh hai sab mazhabon ki jaan hai
ye apna hindostan hai ye apna hindostan hai
hasil yahan insan ko har tarah ki aazadiyan
mera watan hindostan
jab dil se dil milte gae miTte gae sab fasle
ye aaj ka naghma nahin sadiyon ke hain ye silsile
sadiyon se mil kar hi baDhe sab ahl-e-dil ke qafile
ek sath uThti hai yahan aawaz-e-naqus-o-azan
mera watan hindostan
tariKH ke is moD par hum farz se ghafil nahin
qabu na jis par pa saken aisi koi mushkil nahin
jis ko na hum sar kar saken aisi koi manzil nahin
han bankpan ki shan se hai karwan apna rawan
mera watan hindostan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.