mera watan mera chaman
Interesting Fact
Broadcasted from All India Radio Bhopal
īsār kā ye gulsitāñ
jamhūriyat kā pāsbāñ
amn-o-ahinsā kā nishāñ
baapū kā ḳhuuñ jis meñ ravāñ
merā vatan hindostāñ
merā chaman jannat-nishāñ
mere vatan ke bām-o-dar
ye raushniyoñ ke nagar
ye jagmagātī har Dagar
hañste hue shām-o-sahar
ye bastiyāñ ye vādiyāñ
hai zindagī jin meñ ravāñ
mere vatan kī shaan haiñ
mere chaman kī shaan haiñ
ye pech-o-ḳham khātī huī
mastī meñ lahrātī huī
jharnoñ se iThlātī huī
hañstī huī gaatī huī
ye jhilmilātī naddiyāñ
ye lahlahātī khetiyāñ
mere vatan kī shaan haiñ
mere chaman kī shaan haiñ
ye kār-ḳhāne ye milleñ
ta.amīr kī ye manzileñ
ye daftaroñ kī fileñ
mehnat-kashoñ kī mahfileñ
ye ūñchī ūñchī chimniyāñ
faulād kī ye bhaTTiyāñ
mere vatan kī shaan haiñ
mere chaman kī shaan haiñ
ye valvale ye hausle
ye paTriyoñ ke silsile
railoñ ke baḌhte qāfile
ghaTtī huiiñ ye dūriyāñ
baḌhte hue ye kārvāñ
mere vatan kī shaan haiñ
mere chaman kī shaan haiñ
schōl-o-college madrase
ilm-o-hunar ke silsile
ta.amīr ke ye rāste
tahzīb ke ye qāfile
miTtī huī be-kāriyāñ
baḌhtī huī ḳhush-hāliyāñ
mere vatan kī shaan haiñ
mere chaman kī shaan haiñ
har samt ye guftār hai
har samt ye lalkār hai
har shaḳhs ab bedār hai
har fard ab tayyār hai
haiñ desh ke sab pāsbāñ
ye būḌhe bachche ye javāñ
mere vatan kī shaan haiñ
mere chaman kī shaan haiñ
isar ka ye gulsitan
jamhuriyat ka pasban
amn-o-ahinsa ka nishan
bapu ka KHun jis mein rawan
mera watan hindostan
mera chaman jannat-nishan
mere watan ke baam-o-dar
ye raushniyon ke nagar
ye jagmagati har Dagar
hanste hue sham-o-sahar
ye bastiyan ye wadiyan
hai zindagi jin mein rawan
mere watan ki shan hain
mere chaman ki shan hain
ye pech-o-KHam khati hui
masti mein lahraati hui
jharnon se iThlati hui
hansti hui gati hui
ye jhilmilati naddiyan
ye lahlahati khetiyan
mere watan ki shan hain
mere chaman ki shan hain
ye kar-KHane ye millen
tamir ki ye manzilen
ye daftaron ki filen
mehnat-kashon ki mahfilen
ye unchi unchi chimniyan
faulad ki ye bhaTTiyan
mere watan ki shan hain
mere chaman ki shan hain
ye walwale ye hausle
ye paTriyon ke silsile
railon ke baDhte qafile
ghaTti huin ye duriyan
baDhte hue ye karwan
mere watan ki shan hain
mere chaman ki shan hain
school-o-college madrase
ilm-o-hunar ke silsile
tamir ke ye raste
tahzib ke ye qafile
miTti hui be-kariyan
baDhti hui KHush-haaliyan
mere watan ki shan hain
mere chaman ki shan hain
har samt ye guftar hai
har samt ye lalkar hai
har shaKHs ab bedar hai
har fard ab tayyar hai
hain desh ke sab pasban
ye buDhe bachche ye jawan
mere watan ki shan hain
mere chaman ki shan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.