mere aangan mein
mere āñgan meñ
pahlī ḳhushī
ban kar tum aa.ī ho
jaise tapte hue sahrā meñ
bārish kī būñdeñ girtī hoñ
tum ne mujhe kitnā buland martaba diyā hai
bilkul pariyoñ jaisī lagtī ho tum
tumhāre muñh se maañ sun kar
ek anokhā ehsās hotā hai
tumhāre nanhe nanhe hāthoñ kā lams
ek ajiib sī tavānā.ī baḳhshtā hai
tum merī zindagī kī pahlī ḳhushī ban kar aa.ī ho
tum merā shajar-e-sāya-dār ho
mere aangan mein
pahli KHushi
ban kar tum aai ho
jaise tapte hue sahra mein
barish ki bunden girti hon
tum ne mujhe kitna buland martaba diya hai
bilkul pariyon jaisi lagti ho tum
tumhaare munh se man sun kar
ek anokha ehsas hota hai
tumhaare nanhe nanhe hathon ka lams
ek ajib si tawanai baKHshta hai
tum meri zindagi ki pahli KHushi ban kar aai ho
tum mera shajar-e-saya-dar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.