mere andar
kā.enāt ke intizām meñ
ik chhoTā sā zarra huuñ maiñ
lekin itnā jaan gayā huuñ
mere andar ik sahrā hai
jo sadiyoñ se pyāsā hai
maiñ vo amrit DhūñDh rahā huuñ
jis se us kī pyaas bujhe
mere andar hai ik sāgar
kitnā gahrā koī na jaane
ġhota-ḳhor ke ruup meñ aksar koshish kī hai
us kī tah tak pahuñch sakūñ
be-shak baḌe nizām kā
chhoTā sā hissa huuñ
lekin mujh meñ vo vus.at hai
jis meñ sau sahrā kho jaa.eñ
mujh meñ hai gahrā.ī aisī
jis meñ ka.ī samundar Duube
mere andar ek anokhī duniyā hai
kā.enāt us kā chhoTā sā hissa hai
kaenat ke intizam mein
ek chhoTa sa zarra hun main
lekin itna jaan gaya hun
mere andar ek sahra hai
jo sadiyon se pyasa hai
main wo amrit DhunDh raha hun
jis se us ki pyas bujhe
mere andar hai ek sagar
kitna gahra koi na jaane
ghota-KHor ke rup mein aksar koshish ki hai
us ki tah tak pahunch sakun
be-shak baDe nizam ka
chhoTa sa hissa hun
lekin mujh mein wo wusat hai
jis mein sau sahra kho jaen
mujh mein hai gahrai aisi
jis mein kai samundar Dube
mere andar ek anokhi duniya hai
kaenat us ka chhoTa sa hissa hai
- Book : Namak (Pg. 32)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.