mere baad aa
badlegā rañg shām-e-alam
mere baad aa
hogā zarā sā dard bhī kam
mere baad aa
tanhā.iyāñ bhī apnī haiñ
apnī haiñ sā.ateñ
ḳhud-sāḳhta haiñ saare ye ġham
mere baad aa
ḳhvāboñ ke is muñDer se dekhā kiye mujhe
ye aur baat hai ki huī chashm merī nam
namnākiyoñ kī baat ḳhatm
mere baad aa
hariyāliyoñ kī bhiiḌ
magar dukh kī kāsht hai
badlegā rañg charḳh-e-kuhan
mere baad aa
badlega rang sham-e-alam
mere baad aa
hoga zara sa dard bhi kam
mere baad aa
tanhaiyan bhi apni hain
apni hain saaten
KHud-saKHta hain sare ye gham
mere baad aa
KHwabon ke is munDer se dekha kiye mujhe
ye aur baat hai ki hui chashm meri nam
namnakiyon ki baat KHatm
mere baad aa
hariyaliyon ki bhiD
magar dukh ki kasht hai
badlega rang charKH-e-kuhan
mere baad aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.