mere bachchon ki hansi
mere bachchoñ kī hañsī
qulqul-e-mīnā jaise
jaise naġhma ho kisī jharne kā
jaise doshīza ke paa.el kī jhanak
jaise kaliyoñ ke chaTakne kī sadā
jaise raftār-e-sabā
jaise ḳhandāñ ho sahar
jaise mahbūb kī ulfat kī nazar
un kī ma.asūm hañsī
aish-añgez sukūñ mujh ko atā kartī hai
merā har dard miTā detī hai
ġham-e-āfāq bhulā detī hai
mere bachchoñ kī hañsī
mere bachchon ki hansi
qulqul-e-mina jaise
jaise naghma ho kisi jharne ka
jaise doshiza ke pael ki jhanak
jaise kaliyon ke chaTakne ki sada
jaise raftar-e-saba
jaise KHandan ho sahar
jaise mahbub ki ulfat ki nazar
un ki masum hansi
aish-angez sukun mujh ko ata karti hai
mera har dard miTa deti hai
gham-e-afaq bhula deti hai
mere bachchon ki hansi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.