mere baste mein kya hai
schōl kā laḌkā huuñ maiñ
nanhā sā banjāra huuñ maiñ
jo chiiz hai vo ḳhaas hai
baste meñ mere paas hai
kuchh toffiyāñ kuchh goliyāñ
kuchh ber kuchh nimboliyāñ
kaḌvī kasīlī chhāliya
kuchh bach ga.iiñ kuchh khā liyā
parkār pencil aur rabber
rangīn kāġhaz aur colour
ye mor ke par dekhiye
la.al-o-javāhar dekhiye
māchis ke label dekhiye
kāġhaz kī bulbul dekhiye
lo ye kahīñ se aa ga.e
murġhī ke par TuuTe hue
sikke purāne daur ke
lahore ke bhanbor ke
ye dhaat hai bolān kī
ye uun cholistān kī
TukḌā hai ye billor kā
tohfa bahāvalpur kā
nīlam hai ye kashmīr kā
ye hai nagīna diir kā
phal vādi-e-kāġhān ke
meve vaziristān ke
ye ibn-e-inshā kī kitāb
tohfa milā hai lā-javāb
tasvīr rangā-rang hai
jo dekhtā hai dang hai
billī nahīñ bhālū hai ye
ḳhargosh kā ḳhālū hai ye
ye sab mire baste meñ hai
har phuul gul-daste meñ hai
jab pāñch paise lāoge
tab ek tohfa pāoge
school ka laDka hun main
nanha sa banjara hun main
jo chiz hai wo KHas hai
baste mein mere pas hai
kuchh toffiyan kuchh goliyan
kuchh ber kuchh nimboliyan
kaDwi kasili chhaaliya
kuchh bach gain kuchh kha liya
parkar pencil aur rabber
rangin kaghaz aur colour
ye mor ke par dekhiye
lal-o-jawahar dekhiye
machis ke label dekhiye
kaghaz ki bulbul dekhiye
lo ye kahin se aa gae
murghi ke par TuTe hue
sikke purane daur ke
lahore ke bhanbor ke
ye dhat hai bolan ki
ye un cholistan ki
TukDa hai ye billor ka
tohfa bahawalpur ka
nilam hai ye kashmir ka
ye hai nagina dir ka
phal wadi-e-kaghan ke
mewe waziristan ke
ye ibn-e-insha ki kitab
tohfa mila hai la-jawab
taswir ranga-rang hai
jo dekhta hai dang hai
billi nahin bhaalu hai ye
KHargosh ka KHalu hai ye
ye sab mere baste mein hai
har phul gul-daste mein hai
jab panch paise laoge
tab ek tohfa paoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.