mere bhi hain kuchh KHwab
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
us daur se is daur ke sūkhe hue dariyāoñ se
phaile hue sahrāoñ se aur shahroñ ke vīrānoñ se
vīrāna-garoñ se maiñ hazīñ aur udās!
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb!
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
vo ḳhvāb ki asrār nahīñ jin ke hameñ aaj bhī ma.alūm
vo ḳhvāb jo āsūdgī-e-martaba-o-jāh se
ālūdgī-e-gard-e-sar-e-rāh se ma.asūm
jo ziist kī be-hūda kashākash se bhī hote nahīñ ma.adūm
ḳhud ziist kā mafhūm!
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
ai kāhin-e-dānish-var o a.ālī-guhar o piir
tū ne hī batā.ī hameñ har ḳhvāb kī ta.abīr
tuune hī sujhā.ī ġham-e-dil-gīr kī tasḳhīr
TuuTī tire hāthoñ hī se har ḳhauf kī zanjīr
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb, mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
kuchh ḳhvāb ki madfūn haiñ ajdād ke ḳhud-sāḳhta asmār ke nīche
ujḌe hue maz.hab ke banā reḳhta auhām kī dīvār ke nīche
shīrāz ke majzūb-e-tunak-jām ke afkār ke nīche
tahzīb-e-nigūñ-sār ke ālām ke ambār ke nīche
kuchh ḳhvāb haiñ āzād magar baḌhte hue nuur se mar.ūb
ne hausla-e-ḳhūb hai ne himmat-e-nā-ḳhūb
gar zaat se baḌh kar nahīñ kuchh bhī unheñ mahbūb
haiñ aap hī is zaat ke jārūb
zaat se mahjūb!
kuchh ḳhvāb haiñ jo gardish-e-ālāt se jūyanda-e-tamkīn
hai jin ke liye bandagī-e-qāzī-e-hājāt se is dahr kī taz.īn
kuchh jin ke liye ġham kī musāvāt se insān kī tāmīn
kuchh ḳhvāb ki jin kā havas-e-jaur hai aa.iin
duniyā hai na diin!
kuchh ḳhvāb haiñ parda-e-anvār magar un kī sahar gum
jis aag se uThtā hai mohabbat kā ḳhamīr us ke sharar gum
hai kul kī ḳhabar un ko magar juz kī ḳhabar gum
ye ḳhvāb haiñ vo jin ke liye martaba-e-dīda-e-tar hech
dil hech hai sar itne barābar haiñ ki sar hech
arz-e-hunar hech!
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
ye ḳhvāb mire ḳhvāb nahīñ haiñ ki mire ḳhvāb haiñ kuchh aur
kuchh aur mire ḳhvāb haiñ kuchh aur mirā daur
ḳhvāboñ ke na.e daur meñ ne mor o malaḳh ne asad o saur
ne lazzat-e-taslīm kasī meñ na kasī ko havas-e-jaur
sab ke na.e taur!
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb!
har ḳhvāb kī saugand!
har-chand ki vo ḳhvāb haiñ sar-basta o rū-band
siine meñ chhupā.e hue goyā.ī-e-doshīza-e-lab-ḳhand
har ḳhvāb meñ ajsām se afkār kaa, mafhūm se guftār kā paivand
ushshāq ke lab-hā-e-azal-tishna kī paivastagī-e-shauq ke mānind
(ai lamha-e-ḳhursand)
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb, mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
vo ḳhvāb haiñ āzādi-e-kāmil ke na.e ḳhvāb
har sa.ī-e-jigar-doz ke hāsil ke na.e ḳhvāb
aadam kī vilādat ke na.e jashn pe lahrāte jalājil ke na.e ḳhvāb
is ḳhaak kī satvat kī manāzil ke na.e ḳhvāb
yā sīna-e-gītī meñ na.e dil ke na.e ḳhvāb
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb!
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab mere bhi hain kuchh KHwab
mere bhi hain kuchh KHwab
us daur se is daur ke sukhe hue dariyaon se
phaile hue sahraon se aur shahron ke viranon se
virana-garon se main hazin aur udas!
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab
mere bhi hain kuchh KHwab!
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab mere bhi hain kuchh KHwab
mere bhi hain kuchh KHwab
wo KHwab ki asrar nahin jin ke hamein aaj bhi malum
wo KHwab jo aasudgi-e-martaba-o-jah se
aaludgi-e-gard-e-sar-e-rah se masum
jo zist ki be-huda kashakash se bhi hote nahin madum
KHud zist ka mafhum!
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab
ai kahin-e-danish-war o aaali-guhar o pir
tu ne hi batai hamein har KHwab ki tabir
tune hi sujhai gham-e-dil-gir ki tasKHir
TuTi tere hathon hi se har KHauf ki zanjir
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab, mere bhi hain kuchh KHwab
mere bhi hain kuchh KHwab
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab
kuchh KHwab ki madfun hain ajdad ke KHud-saKHta asmar ke niche
ujDe hue mazhab ke bana reKHta auham ki diwar ke niche
shiraaz ke majzub-e-tunak-jam ke afkar ke niche
tahzib-e-nigun-sar ke aalam ke ambar ke niche
kuchh KHwab hain aazad magar baDhte hue nur se marub
ne hausla-e-KHub hai ne himmat-e-na-KHub
gar zat se baDh kar nahin kuchh bhi unhen mahbub
hain aap hi is zat ke jarub
zat se mahjub!
kuchh KHwab hain jo gardish-e-alat se juyanda-e-tamkin
hai jin ke liye bandagi-e-qazi-e-hajat se is dahr ki tazin
kuchh jin ke liye gham ki musawat se insan ki tamin
kuchh KHwab ki jin ka hawas-e-jaur hai aain
duniya hai na din!
kuchh KHwab hain parda-e-anwar magar un ki sahar gum
jis aag se uThta hai mohabbat ka KHamir us ke sharar gum
hai kul ki KHabar un ko magar juz ki KHabar gum
ye KHwab hain wo jin ke liye martaba-e-dida-e-tar hech
dil hech hai sar itne barabar hain ki sar hech
arz-e-hunar hech!
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab
ye KHwab mere KHwab nahin hain ki mere KHwab hain kuchh aur
kuchh aur mere KHwab hain kuchh aur mera daur
KHwabon ke nae daur mein ne mor o malaKH ne asad o saur
ne lazzat-e-taslim kasi mein na kasi ko hawas-e-jaur
sab ke nae taur!
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab
mere bhi hain kuchh KHwab!
har KHwab ki saugand!
har-chand ki wo KHwab hain sar-basta o ru-band
sine mein chhupae hue goyai-e-doshiza-e-lab-KHand
har KHwab mein ajsam se afkar ka, mafhum se guftar ka paiwand
ushshaq ke lab-ha-e-azal-tishna ki paiwastagi-e-shauq ke manind
(ai lamha-e-KHursand)
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab, mere bhi hain kuchh KHwab
wo KHwab hain aazadi-e-kaamil ke nae KHwab
har sai-e-jigar-doz ke hasil ke nae KHwab
aadam ki wiladat ke nae jashn pe lahraate jalajil ke nae KHwab
is KHak ki satwat ki manazil ke nae KHwab
ya sina-e-giti mein nae dil ke nae KHwab
ai ishq-e-azal-gir o abad-tab
mere bhi hain kuchh KHwab
mere bhi hain kuchh KHwab!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.