mere dil ko yaqin tha
mere dil ko yaqīñ thā
kisī ne sach kahā hai
ki rishte mar nahīñ sakte
hamāre darmiyāñ jab rābte nā-mo'tabar Thahreñ
to rishte kaam aate haiñ
ye TuuTe rābtoñ ko joḌ dete haiñ
mire dil ko yaqīñ thā
magar in chand barsoñ meñ
kuchh aise ajnabī mausam mire andar utar aa.e
samay ke saath ab mujh ko
yaqīñ hone lagā hai
ki aisā bhī to hotā hai
hamāre darmiyāñ jab rābte nā-mo'tabar Thahreñ
to rishte sar paTak ke mar bhī jaate haiñ
mere dil ko yaqin tha
kisi ne sach kaha hai
ki rishte mar nahin sakte
hamare darmiyan jab rabte na-mo'tabar Thahren
to rishte kaam aate hain
ye TuTe rabton ko joD dete hain
mere dil ko yaqin tha
magar in chand barson mein
kuchh aise ajnabi mausam mere andar utar aae
samay ke sath ab mujh ko
yaqin hone laga hai
ki aisa bhi to hota hai
hamare darmiyan jab rabte na-mo'tabar Thahren
to rishte sar paTak ke mar bhi jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.