mere dosto
mire dosto baḌe ġhaur se
maiñ jo kah rahā huuñ use suno
na vahāñ Daro na kabhī jhuko
jahāñ zulm ho jahāñ ḳhauf ho
jahāñ jabr ho jahāñ ho jafā
jahāñ vahshiyoñ kā hujūm ho
jahāñ nafratoñ jahāñ ranjishoñ
kā nasha chaḌhā ho avaam par
ho agar vahāñ bhī ḳhamosh tum
to ye maan lenā ki laash ho
mire dosto baḌe ġhaur se
maiñ jo kah rahā huuñ use suno
mere dosto baDe ghaur se
main jo kah raha hun use suno
na wahan Daro na kabhi jhuko
jahan zulm ho jahan KHauf ho
jahan jabr ho jahan ho jafa
jahan wahshiyon ka hujum ho
jahan nafraton jahan ranjishon
ka nasha chaDha ho awam par
ho agar wahan bhi KHamosh tum
to ye man lena ki lash ho
mere dosto baDe ghaur se
main jo kah raha hun use suno
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.