mere dushman ki maut
teġh lahū meñ Duubī thī aur peḌ ḳhushī se jhūmā thā
bād-e-bahārī chalī jhuum ke jab us ne mujh ko dekhā thā
ghāyal nazreñ us dushman kī aise mujh ko taktī thiiñ
jaise anhonī koī dekhī un kamzor nigāhoñ ne
ye insāf to ba.ad meñ hogā kyā sachchā kyā jhūTā hai
kaun yaqīn se kah saktā hai kaun burā kaun achchhā hai
lekin phir bhī ek baar to merā dil bhī kāñpā thā
kaash ye sab kuchh kabhī na hotā maiñ ne dukh se sochā thā
ghāyal nazreñ us dushman kī gahrī soch meñ khoī thiiñ
jaise anhonī koī dekhī un kamzor nigāhoñ ne
kaun huuñ maiñ aur kaun thā vo jis par honī ne vaar kiyā
kaun thā vo jis shaḳhs ko maiñ ne bharī bahār meñ maar diyā
tegh lahu mein Dubi thi aur peD KHushi se jhuma tha
baad-e-bahaari chali jhum ke jab us ne mujh ko dekha tha
ghayal nazren us dushman ki aise mujh ko takti thin
jaise anhoni koi dekhi un kamzor nigahon ne
ye insaf to baad mein hoga kya sachcha kya jhuTa hai
kaun yaqin se kah sakta hai kaun bura kaun achchha hai
lekin phir bhi ek bar to mera dil bhi kanpa tha
kash ye sab kuchh kabhi na hota main ne dukh se socha tha
ghayal nazren us dushman ki gahri soch mein khoi thin
jaise anhoni koi dekhi un kamzor nigahon ne
kaun hun main aur kaun tha wo jis par honi ne war kiya
kaun tha wo jis shaKHs ko main ne bhari bahaar mein mar diya
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 164)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.