Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere hindostan

Muzaffar Hanfi

mere hindostan

Muzaffar Hanfi

MORE BYMuzaffar Hanfi

    haryāna kashmīr uḌīsa mahrāshTra punjab

    kareñ tujhe ādāb

    karnāTak bangāl Aandhra tamil nadu āsām

    karte haiñ parnām

    tere darvāze par sar ḳham keral rājasthān

    mere hindostān mere hindostān

    taaj ajantā kāshī sāñchī dillī aur chittauḌ

    kitnī lambī dauḌ

    chishtī nānak ḳhusrav gāñdhī akbar aur ashok

    sab hinsā rok

    terī bāñkī ān-bān hai sab se ūñchī shaan

    mere hindostān mere hindostān

    jain pārsī sikh īsā.ī hindū muslim saare

    tere raaj dulāre

    bangālī punjabi urdu hindī aur malyālam

    ek giit ke sargam

    terī zaat aziim hai sab se terī baat mahān

    mere hindostān mere hindostān

    haryana kashmir uDisa mahrashTra punjab

    karen tujhe aadab

    karnaTak bangal Aandhra tamil nadu aasam

    karte hain parnam

    tere darwaze par sar KHam keral rajasthan

    mere hindostan mere hindostan

    taj ajanta kashi sanchi dilli aur chittauD

    kitni lambi dauD

    chishti nanak KHusraw gandhi akbar aur ashok

    sab hinsa ki rok

    teri banki aan-ban hai sab se unchi shan

    mere hindostan mere hindostan

    jain parsi sikh isai hindu muslim sare

    tere raj dulare

    bangali punjabi urdu hindi aur malyalam

    ek git ke sargam

    teri zat azim hai sab se teri baat mahan

    mere hindostan mere hindostan

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now