mere KHamosh KHuda
mire ḳhāmosh ḳhudā
saath mire bol zarā
mire andar to utar
merī tamannā meñ dhaḌak
maiñ jo āñkhoñ meñ
thakan rakh ke safar kartī huuñ
mirī rātoñ ko mire ḳhvāb na Das jaa.eñ kahīñ
mere andar vo ḳhayālāt na bas jaa.eñ kahīñ
jin ko mamnūa zamīnoñ kī hikāyāt kahā jaatā hai
tīrgī par jise likkhī huī vo raat kahā jaatā hai
jis kī qismat meñ kabhī koī sitāra na diyā hotā hai
jis ke māthe pe savere kā
koī bosa kabhī sabt nahīñ ho paatā
vo jo mahrūm-e-tamannā hai duā kā Dar hai
mire ḳhāmosh ḳhudā!
vaqt be-vaqt mirī āñkhoñ meñ
tapte paanī kī ye bhaḌkan kyuuñ hai
mere māthe pe tamannā kā koī rañg nahīñ
phir mire haath kī rekhāoñ meñ
uljhī huī duniyā kī kahānī kyuuñ hai
vo jo atrāf mire
mujh ko nazar aatī nahīñ
mere dil meñ vo udāsī kī
ravānī kyuuñ hai
kaun hai vo jo mujhe
''kūk'' kā an-dekhā bulāvā de kar
''hūk'' kī oT meñ chhup jaatā hai
jo mujhe mere tasavvur ke kisī aks meñ
raushan kar ke
ā.īna-ḳhāne meñ phir aag lagā jaatā hai
jis kī āñkhoñ meñ
mire ḳhvāb ke saare manzar
apne hone kī gavāhī meñ jiye jaate haiñ
vo gavāhī ki sahīfoñ meñ
jise maiñ ne tilāvat to kiyā hai lekin
vo gavāhī mere hone kī gavāhī to nahīñ
maiñ kahāñ huuñ
mirā ma.alūm kahāñ hai
kis ne
mire andar mire maujūd ko nābūd kiyā
kaun hai
jo mirī rag rag meñ jiye jaatā hai
mirī duniyā se mujhe mulk-badar rakhtā hai
mere KHamosh KHuda
sath mere bol zara
mere andar to utar
meri tamanna mein dhaDak
main jo aankhon mein
thakan rakh ke safar karti hun
meri raaton ko mere KHwab na Das jaen kahin
mere andar wo KHayalat na bas jaen kahin
jin ko mamnua zaminon ki hikayat kaha jata hai
tirgi par jise likkhi hui wo raat kaha jata hai
jis ki qismat mein kabhi koi sitara na diya hota hai
jis ke mathe pe sawere ka
koi bosa kabhi sabt nahin ho pata
wo jo mahrum-e-tamanna hai dua ka Dar hai
mere KHamosh KHuda!
waqt be-waqt meri aankhon mein
tapte pani ki ye bhaDkan kyun hai
mere mathe pe tamanna ka koi rang nahin
phir mere hath ki rekhaon mein
uljhi hui duniya ki kahani kyun hai
wo jo atraf mere
mujh ko nazar aati nahin
mere dil mein wo udasi ki
rawani kyun hai
kaun hai wo jo mujhe
kuk ka an-dekha bulawa de kar
huk ki oT mein chhup jata hai
jo mujhe mere tasawwur ke kisi aks mein
raushan kar ke
aaina-KHane mein phir aag laga jata hai
jis ki aankhon mein
mere KHwab ke sare manzar
apne hone ki gawahi mein jiye jate hain
wo gawahi ki sahifon mein
jise main ne tilawat to kiya hai lekin
wo gawahi mere hone ki gawahi to nahin
main kahan hun
mera malum kahan hai
kis ne
mere andar mere maujud ko nabud kiya
kaun hai
jo meri rag rag mein jiye jata hai
meri duniya se mujhe mulk-badar rakhta hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 81)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.