mere milne wale
vo dar khulā mere ġham-kade kā
vo aa ga.e mere milne vaale
vo aa ga.ī shaam apnī rāhoñ meñ
farsh-e-afsurdagī bichhāne
vo aa ga.ī raat chāñd tāroñ ko
apnī āzurdagī sunāne
vo sub.h aa.ī damakte nashtar se
yaad ke zaḳhm ko manāne
vo dopahar aa.ii, āstīñ meñ
chhupā.e sho.aloñ ke tāziyāne
ye aa.e sab mere milne vaale
ki jin se din raat vāstā hai
pe kaun kab āyā, kab gayā hai
nigāh o dil ko ḳhabar kahāñ hai
ḳhayāl sū-e-vatan ravāñ hai
samundaroñ kī ayaal thāme
hazār vahm-o-gumāñ sambhāle
ka.ī tarah ke savāl thāme
My Visitors
wo dar khula mere gham-kade ka
wo aa gae mere milne wale
wo aa gai sham apni rahon mein
farsh-e-afsurdagi bichhane
wo aa gai raat chand taron ko
apni aazurdagi sunane
wo subh aai damakte nashtar se
yaad ke zaKHm ko manane
wo dopahar aai, aastin mein
chhupae shoalon ke taziyane
ye aae sab mere milne wale
ki jin se din raat wasta hai
pe kaun kab aaya, kab gaya hai
nigah o dil ko KHabar kahan hai
KHayal su-e-watan rawan hai
samundaron ki ayal thame
hazar wahm-o-guman sambhaale
kai tarah ke sawal thame
My Visitors
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 663)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.