mere naghme tumhaare liye hain
ai vatan ke sajīle javāno
mere naġhme tumhāre liye haiñ
sarfaroshī hai īmāñ tumhārā
jur.atoñ ke parastār tum ho
jo hifāzat kare sarhadoñ kī
vo falak-bos dīvār tum ho
ai shujā.at ke zinda nishāno
mere naġhme tumhāre liye haiñ
bīviyoñ maaoñ bahnoñ kī nazreñ
tum ko dekheñ to yuuñ jagmagā.eñ
jaise ḳhāmoshiyoñ kī zabāñ se
de rahī hoñ vo tum ko duā.eñ
qaum ke ai jarī pāsbāno
mere naġhme tumhāre liye haiñ
tum pe jo kuchh likhā shā.iroñ ne
un meñ shāmil hai āvāz merī
uḌ ke pahuñchoge tum jis ufuq par
saath jā.egī āvāz merī
chāñd tāroñ ke ai rāz-dāno
mere naġhme tumhāre liye haiñ
ai watan ke sajile jawano
mere naghme tumhaare liye hain
sarfaroshi hai iman tumhaara
juraton ke parastar tum ho
jo hifazat kare sarhadon ki
wo falak-bos diwar tum ho
ai shujaat ke zinda nishano
mere naghme tumhaare liye hain
biwiyon maon bahnon ki nazren
tum ko dekhen to yun jagmagaen
jaise KHamoshiyon ki zaban se
de rahi hon wo tum ko duaen
qaum ke ai jari pasbano
mere naghme tumhaare liye hain
tum pe jo kuchh likha shairon ne
un mein shamil hai aawaz meri
uD ke pahunchoge tum jis ufuq par
sath jaegi aawaz meri
chand taron ke ai raaz-dano
mere naghme tumhaare liye hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.