mere pas bahut si baaten hain
mere paas
bahut sī bāteñ haiñ
jo maiñ ne zindagī se kashīd kiiñ
chāhe achchhī ho yā burī
baat sunāne ke liye hotī hai
aur maiñ ne aisā nahīñ kiyā
baat
zindagī kī amānat hai
jise lauTāna paḌtā hai
maiñ bātoñ ko paTTe bāñdh kar
jam.a kartā rahā
bātoñ kā baaḌā
vasī.a hotā chalā gayā
aur merā surūr bhī
ek rose
ek baat mujh par bhauñktī hai
merā ḳhumār TūTtā hai
maiñ
chauñk kar dekhtā huuñ
ek ke ba.ad dūsrī
aur dūsrī ke ba.ad tīsrī
vo sab
mujh par bhauñkne lagtī haiñ
maiñ
unheñ chumkārtā huuñ
magar be-sūd
shor se merā dimāġh bhar jaatā hai
mujhe
kuchh bhī nahīñ sūjhtā
aur maiñ bhī
bhauñknā shurūa kar detā huuñ
mere pas
bahut si baaten hain
jo main ne zindagi se kashid kin
chahe achchhi ho ya buri
baat sunane ke liye hoti hai
aur main ne aisa nahin kiya
baat
zindagi ki amanat hai
jise lauTana paDta hai
main baaton ko paTTe bandh kar
jama karta raha
baaton ka baDa
wasia hota chala gaya
aur mera surur bhi
ek rose
ek baat mujh par bhaunkti hai
mera KHumar TuTta hai
main
chaunk kar dekhta hun
ek ke baad dusri
aur dusri ke baad tisri
wo sab
mujh par bhaunkne lagti hain
main
unhen chumkarta hun
magar be-sud
shor se mera dimagh bhar jata hai
mujhe
kuchh bhi nahin sujhta
aur main bhi
bhaunkna shurua kar deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.