Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere purkhon ki pahli dua

Ishrat Afreen

mere purkhon ki pahli dua

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    raat kokh se

    sub.h ek nannhī kiran ne janam yuuñ liyā

    shab ne nannhī shafaq gulābī hasīñ muTThiyāñ khol kar

    kuchh lakīreñ paḌhīñ

    aur sabā se na ma.alūm chupke se kyā kah diyā

    yuuñ ki shabnam āñkhoñ se aañsū bahe

    ik sitāra hañsā

    chāñdnī muskurātī huī chal paḌī

    aur naqāhat se pahlū badalte hue

    chauñk kar merī maañ ne baḌe shauq se

    kuchh ishāra kiyā

    āhaToñ aur sargoshiyoñ meñ kisī ne kahā

    aah laḌkī hai ye

    itnī afsurda āvāz mere ḳhudā

    merī pahlī samā.at pe likkhī ga.ī

    merī pahlī sāñsoñ meñ gholā gayā

    in shikasta se lahjoñ zahrīlā-pan

    aah laḌkī hai

    laḌkī hai

    laḌkī hai ye

    is qismat māñgo duā

    ab bhī merī samā.at pe likkhī hai vo

    mere purkhoñ pahlī duā

    raat ki kokh se

    subh ki ek nannhi kiran ne janam yun liya

    shab ne nannhi shafaq ki gulabi hasin muTThiyan khol kar

    kuchh lakiren paDhin

    aur saba se na malum chupke se kya kah diya

    yun ki shabnam ki aankhon se aansu bahe

    ek sitara hansa

    chandni muskuraati hui chal paDi

    aur naqahat se pahlu badalte hue

    chaunk kar meri man ne baDe shauq se

    kuchh ishaara kiya

    aahaTon aur sargoshiyon mein kisi ne kaha

    aah laDki hai ye

    itni afsurda aawaz mere KHuda

    meri pahli samaat pe likkhi gai

    meri pahli hi sanson mein ghola gaya

    in shikasta se lahjon ka zahrila-pan

    aah laDki hai

    laDki hai

    laDki hai ye

    is ki qismat ki mango dua

    ab bhi meri samaat pe likkhi hai wo

    mere purkhon ki pahli dua

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now