mere pyare
mere pyāre vatan mere pyāre vatan
terī dhartī ko jhūlā jhulā.e gagan
terī miTTī kī ḳhushbū mire giit meñ
tere jharnoñ kī lai mere sangīt meñ
terī zulfoñ se mahkī hai fikr-e-suḳhan
mere pyāre vatan mere pyāre vatan
parbatoñ par birāje hue devtā
bargadī chhāñv meñ sādhūoñ kī kathā
tujh se zinda hai tahzīb kā bāñkpan
mere pyāre vatan mere pyāre vatan
sar hai tāj-e-himāla sañbhāle hue
paañv lanka kī pāzeb Daale hue
jism kī jot se bhiik māñge kiran
mere pyāre vatan mere pyāre vatan
shahr yūñhī tire jagmagāte raheñ
gaañv miTTī se sonā ugāte raheñ
roz baḌhtī rahe raunaq-e-anjuman
mere pyāre vatan mere pyāre vatan
mere pyare watan mere pyare watan
teri dharti ko jhula jhulae gagan
teri miTTi ki KHushbu mere git mein
tere jharnon ki lai mere sangit mein
teri zulfon se mahki hai fikr-e-suKHan
mere pyare watan mere pyare watan
parbaton par biraje hue dewta
bargadi chhanw mein sadhuon ki katha
tujh se zinda hai tahzib ka bankpan
mere pyare watan mere pyare watan
sar hai taj-e-himala sanbhaale hue
panw lanka ki pazeb Dale hue
jism ki jot se bhik mange kiran
mere pyare watan mere pyare watan
shahr yunhi tere jagmagate rahen
ganw miTTi se sona ugate rahen
roz baDhti rahe raunaq-e-anjuman
mere pyare watan mere pyare watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.