meri aazadi girwi hai
merā ghar mire naam hai lekin
maiñ ne jis se qarza le kar
is ke dar-o-dīvār uThā.e
us ke hāthoñ meñ girvī hai
mere ghar meñ us kā har qānūn hai raa.ij
merī raa.e nahīñ chaltī hai
maiñ Dartā huuñ
maiñ bolā to
qaazī kā paiġhām aa.egā
aur mujhe be-ghar kar degā
sirf mujhe ik apne ghar kā ḳhauf nahīñ hai
shahr kā shahr hai girvī merā
aur vatan bhī to girvī hai
maiñ shahrī āzād huuñ lekin
merī āzādī girvī hai
mera ghar mere nam hai lekin
main ne jis se qarza le kar
is ke dar-o-diwar uThae
us ke hathon mein girwi hai
mere ghar mein us ka har qanun hai raij
meri rae nahin chalti hai
main Darta hun
main bola to
qazi ka paigham aaega
aur mujhe be-ghar kar dega
sirf mujhe ek apne ghar ka KHauf nahin hai
shahr ka shahr hai girwi mera
aur watan bhi to girwi hai
main shahri aazad hun lekin
meri aazadi girwi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.