meri achchhi aapa aao
merī achchhī aapā aao
aao merā jī bahlāo
gul gul baatī chune chabātī
kah kah kar tum ḳhuub hañsāo
aTkan baTkan dahī chaTāḳhā
aise aise khel khilāo
mere liye bāzār se apiyā
chīnī kī guḌiyā mañgvāo
merī is guḌiyā kī ḳhātir
munnā sā gharvā banvāo
mere donoñ haath pakaḌ kar
ḳhuub nachāo ḳhuub kudāo
muñh aur haath dhulā kar merā
saaf na.e kapḌe pahnāo
munnī sī gaaḌī meñ biThā kar
mujh ko chaman kī sair karāo
sair se jab maiñ vāpas aa.uuñ
ek kahānī mujh ko sunāo
phir achchhī sī lorī de kar
tum merī nindiyā ko bulāo
yā 'nayyar' ke giit suhāne
gā kar merā jī bahlāo
meri achchhi aapa aao
aao mera ji bahlao
gul gul baati chune chabaati
kah kah kar tum KHub hansao
aTkan baTkan dahi chaTaKHa
aise aise khel khilao
mere liye bazar se apiya
chini ki guDiya mangwao
meri is guDiya ki KHatir
munna sa gharwa banwao
mere donon hath pakaD kar
KHub nachao KHub kudao
munh aur hath dhula kar mera
saf nae kapDe pahnao
munni si gaDi mein biTha kar
mujh ko chaman ki sair karao
sair se jab main wapas aaun
ek kahani mujh ko sunao
phir achchhi si lori de kar
tum meri nindiya ko bulao
ya 'nayyar' ke git suhane
ga kar mera ji bahlao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.