meri ammi
kaisī achchhī merī ammī
pyārī pyārī merī ammī
mujh se kartī haiñ ye pyaar
in ke dam se hai ghar-bār
khānā ammī gar na pakā.eñ
ghar vaale bhūke rah jaa.eñ
kapḌe sī kar pahnātī haiñ
rozāna ye nahlātī haiñ
jab meñ bilkul chhoTā sā thā
un kī godī meñ rahtā thā
rotā to bahlātīñ mujh ko
godī meñ Tahlātīñ mujh ko
thapak thapak kar mujhe sulā.eñ
mīThe sur meñ lorī gaa.eñ
roz sunātīñ na.ī kahānī
merī achchhī ammī raanī
kaisi achchhi meri ammi
pyari pyari meri ammi
mujh se karti hain ye pyar
in ke dam se hai ghar-bar
khana ammi gar na pakaen
ghar wale bhuke rah jaen
kapDe si kar pahnati hain
rozana ye nahlati hain
jab mein bilkul chhoTa sa tha
un ki godi mein rahta tha
rota to bahlatin mujh ko
godi mein Tahlatin mujh ko
thapak thapak kar mujhe sulaen
miThe sur mein lori gaen
roz sunatin nai kahani
meri achchhi ammi rani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.