meri bachchi
merī bachchī maiñ aa.uuñ na aa.uuñ
aane vaalā zamāna hai terā
tere nanhe se dil ko dukhoñ ne
maiñ ne maanā ki hai aaj gherā
aane vaalā zamāna hai terā
terī aashā kī bagiyā khilegī
chāñd kī tujh ko guḌiyā milegī
terī āñkhoñ meñ aañsū na hoñge
ḳhatm hogā sitam kā añdherā
aane vaalā zamāna hai terā
dard kī raat hai koī dam kī
TuuT jā.egī zanjīr ġham kī
muskurā.egī har aas terī
le ke aa.egā ḳhushiyāñ saverā
aane vaalā zamāna hai terā
sach kī rāhoñ meñ jo mar ga.e haiñ
fāsle muḳhtasar kar ga.e haiñ
dukh na jheleñge ham muñh chhupā ke
sukh na lūTegā koī luTerā
aane vaalā zamāna hai terā
meri bachchi main aaun na aaun
aane wala zamana hai tera
tere nanhe se dil ko dukhon ne
main ne mana ki hai aaj ghera
aane wala zamana hai tera
teri aasha ki bagiya khilegi
chand ki tujh ko guDiya milegi
teri aankhon mein aansu na honge
KHatm hoga sitam ka andhera
aane wala zamana hai tera
dard ki raat hai koi dam ki
TuT jaegi zanjir gham ki
muskuraegi har aas teri
le ke aaega KHushiyan sawera
aane wala zamana hai tera
sach ki rahon mein jo mar gae hain
fasle muKHtasar kar gae hain
dukh na jhelenge hum munh chhupa ke
sukh na luTega koi luTera
aane wala zamana hai tera
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 256)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.