meri be-libasi tumhaara pahnawa nahin
shash shor mat karo
zamīn kī aañkh khul jā.egī
maiñ koī raaz nahīñ
jise tum faash kar doge
ḳhvāhishoñ ke gale ghoñT kar
katboñ par mere ḳhvāb likhte ho
tābīr ke lālach meñ
mujhe to ḳhvāb mat batāo
maiñ jitnā TuuT saktā thaa, TuuT chukā
kyā tum mere chūre se
apnī āñkhoñ kī keñchulī rañganna chāhte ho
merī be-libāsī tumhārā pahnāvā to nahīñ!
merī ḳhāmoshī par
tumhārī āvāz kā kafan kam paḌ rahā hai!
to chillāte kyuuñ ho?
jānte nahīñ?
shahr pahle hī merī tohmat se guuñj rahā hai!!!
shash shor mat karo
zamin ki aankh khul jaegi
main koi raaz nahin
jise tum fash kar doge
KHwahishon ke gale ghonT kar
katbon par mere KHwab likhte ho
tabir ke lalach mein
mujhe to KHwab mat batao
main jitna TuT sakta tha, TuT chuka
kya tum mere chure se
apni aankhon ki kenchuli ranganna chahte ho
meri be-libasi tumhaara pahnawa to nahin!
meri KHamoshi par
tumhaari aawaz ka kafan kam paD raha hai!
to chillate kyun ho?
jaante nahin?
shahr pahle hi meri tohmat se gunj raha hai!!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.