meri beTi
merī beTī jab baḌī ho jā.egī
saare ghar meñ chāñdnī phailā.egī
har nazar meñ raushnī aa jā.egī
hūr-e-jannat se nichhāvar lā.egī
merī beTī jab baḌī ho jā.egī
baap ke dil kī kalī khil jā.egī
maañ kī nazroñ meñ javānī aa.egī
aur vo ta.alīm a.alā pā.egī
us kī shādī kī ghaḌī phir aa.egī
merī beTī jab baḌī ho jā.egī
meri beTi jab baDi ho jaegi
sare ghar mein chandni phailaegi
har nazar mein raushni aa jaegi
hur-e-jannat se nichhawar laegi
meri beTi jab baDi ho jaegi
bap ke dil ki kali khil jaegi
man ki nazron mein jawani aaegi
aur wo talim aala paegi
us ki shadi ki ghaDi phir aaegi
meri beTi jab baDi ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.