meri dadi
pyārī pyārī merī daadī
mujh ko kahtī hai shahzādī
mere sau naḳhre sahtī hai
merī fikr use rahtī hai
jo bhī māñgo so detī hai
ek nahī vo do detī hai
mujhe manā kar ḳhush hotī hai
varna ġhusse meñ rotī hai
mujhe koī jo maare chaT se
DaañT use detī hai jhaT se
mujh se duur nahī rah saktī
vo ye baat nahī sah saktī
karam ḳhudā kā hai ye be-shak
us kī ā.ankhoñ kī huuñ ThanDak
ambar par taare haiñ jitne
yaad use haiñ qisse utne
dil kī baat kahūñgī mil ke
nazm 'farāġh'-uncle kar deñge
pyari pyari meri dadi
mujh ko kahti hai shahzadi
mere sau naKHre sahti hai
meri fikr use rahti hai
jo bhi mango so deti hai
ek nahi wo do deti hai
mujhe mana kar KHush hoti hai
warna ghusse mein roti hai
mujhe koi jo mare chaT se
DanT use deti hai jhaT se
mujh se dur nahi rah sakti
wo ye baat nahi sah sakti
karam KHuda ka hai ye be-shak
us ki aaankhon ki hun ThanDak
ambar par tare hain jitne
yaad use hain qisse utne
dil ki baat kahungi mil ke
nazm 'faragh'-uncle kar denge
- Book : Hum Bachche Hain Padhne Wale (Pg. 15)
- Author : Faragh Rohvi
- Publication : West Bangal Urdu Academy (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.