meri duniya
maiñ kahtā huuñ duniyā be-vaq.at be-māya hai
aur ye merā dukh sukh bhī kyā
ye to bas ik dhuup kā TukḌā bādal kā saaya hai
maiñ ne ye kahne se pahle
giitā yā qur.ān pe haath nahīñ rakkhā
lekin sach kahtā huuñ
aur agar maiñ sach kahtā huuñ to mujh ko
ye duniyā kyuuñ itnī bhātī hai
kyuuñ maiñ achānak sote sote āñkheñ malte uTh jaatā huuñ
aur mujhe phir niiñd nahīñ aatī hai
aur mire bistar pe guzarte vaqt ke saa.e
mere qad ke barābar saa.e
qabr kī tārīkī se bhī gahre ho jaate haiñ
mere ḳhvāb lipaT kar mujh se
rote rote so jaate haiñ
main kahta hun duniya be-waqat be-maya hai
aur ye mera dukh sukh bhi kya
ye to bas ek dhup ka TukDa baadal ka saya hai
main ne ye kahne se pahle
gita ya quran pe hath nahin rakkha
lekin sach kahta hun
aur agar main sach kahta hun to mujh ko
ye duniya kyun itni bhati hai
kyun main achanak sote sote aankhen malte uTh jata hun
aur mujhe phir nind nahin aati hai
aur mere bistar pe guzarte waqt ke sae
mere qad ke barabar sae
qabr ki tariki se bhi gahre ho jate hain
mere KHwab lipaT kar mujh se
rote rote so jate hain
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.