meri KHush-fahmi
mukammal thī zindagī
the rāste ḳhushnumā
na thī manzil kī parvāh
chun lī apnī marzī kī Dagar
aur maiñ hī merā ham-safar
ḳhud kī sohbat se behtar
bhalā aur kaun
na koī iḳhtilāf
har haal meñ razā
jahāñ maiñ le chalūñ ḳhud ko
bas mazā hī maza
na samay kī kamī
na kisī kā intizār
jahāñ jī chāhā
Daal diyā paḌāv
manzil vahīñ jahāñ ruk ga.e mere paañv
aglī sub.h
maiñ aur merī na.ī-navelī Dagar tayyār
pur-sukūn thī zindagī
chalte chalte ek moḌ pe
aa milī ek aur raah
baḌhne lage saath mere
aur ek joḌī paañv
aaj pahlī baar
mere adhūre-pan kā ehsās
karā gayā koī
kyā ḳhaak mukammal thī zindagī
ā.īna gayā koī
mukammal thi zindagi
the raste KHushnuma
na thi manzil ki parwah
chun li apni marzi ki Dagar
aur main hi mera ham-safar
KHud ki sohbat se behtar
bhala aur kaun
na koi iKHtilaf
har haal mein raza
jahan main le chalun KHud ko
bas maza hi maza
na samay ki kami
na kisi ka intizar
jahan ji chaha
Dal diya paDaw
manzil wahin jahan ruk gae mere panw
agli subh
main aur meri nai-naweli Dagar tayyar
pur-sukun thi zindagi
chalte chalte ek moD pe
aa mili ek aur rah
baDhne lage sath mere
aur ek joDi panw
aaj pahli bar
mere adhure-pan ka ehsas
kara gaya koi
kya KHak mukammal thi zindagi
aaina gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.