meri maut ke masiha!
merī maut ke masīhā!
tiin barr-e-āzmoñ pe tum ne merā pīchhā kiyā hai
mausam badalte rahe taqdīr kī tarah
maiñ shahr shahr phirā dhuup kī tarah
maiñ ne ḳhāmoshiyāñ lafzoñ ke supurd kiiñ
zabān ke lafz badle
magar tum ik tārīk surañg kī tarah saaya saaya
mere shu.ūr meñ utarte chale ga.e ho
mere zehn mere jism mere qalb ke ma.akūs ruḳh!
merī tahrīroñ ke āseb!
tum merī tanhā.ī ho mere vajūd kī intihā aur shikast
chāhe hue badan tumhārī āġhosh meñ raakh ho ga.e haiñ
abadī ḳhāmosh harīf!
tum kā.enāt ke tamām nuur ke saath shatranj khelte rahe ho
maiñ nai tumhārī quvvatoñ kī hama-gīr gunjalak bisāt pe
ḳhāna-ba-ḳhāna...
ishq aur lafzoñ kī salībeñ bichhā.īñ:
tum havāoñ kī misāl mere ās-pās baraste rahe
tum har shaam phūloñ pe yalġhār karte pāniyoñ pe chalte rahe ho
ye jānte hue bhī ki mere lafz
ret ke chehre pe khiñche hue be-sabāt naqsh haiñ
maiñ ne har ibtidā har intihā kā isbāt kiyā hai
fāsloñ kī tarah tum sab kuchh nikalte chale ga.e ho
hamārā jhagḌā tā-umr jaarī rahegā
mere sāñsoñ ke sāthī aur dushman:
mere ham-shakl:
muqaddar kī band kitāb:
maiñ ne tumhāre raaz jānñe chāhe
calendar kī tārīḳhoñ meñ tumheñ paḌhnā chāhā
palkoñ ke darmiyān tumhāre libās ke nā-mālūm taar bichhā.e
yaad rakho!
har raushnī ne tumheñ apne faanī sho.aloñ meñ lapeTnā chāhā
magar vaqt kī kalīd!
tum ne kunjiyoñ kā guchchā na jaane kis miTTī meñ dafn kar diyā hai
tum jhūTe lafzoñ kī tarah
merī uñgliyoñ meñ se phisalte chale ga.e ho
meri maut ke masiha!
tin barr-e-azmon pe tum ne mera pichha kiya hai
mausam badalte rahe taqdir ki tarah
main shahr shahr phira dhup ki tarah
main ne KHamoshiyan lafzon ke supurd kin
zaban ke lafz badle
magar tum ek tarik surang ki tarah saya saya
mere shuur mein utarte chale gae ho
mere zehn mere jism mere qalb ke makus ruKH!
meri tahriron ke aaseb!
tum meri tanhai ho mere wajud ki intiha aur shikast
chahe hue badan tumhaari aaghosh mein rakh ho gae hain
abadi KHamosh harif!
tum kaenat ke tamam nur ke sath shatranj khelte rahe ho
main nai tumhaari quwwaton ki hama-gir gunjalak bisat pe
KHana-ba-KHana
ishq aur lafzon ki saliben bichhain:
tum hawaon ki misal mere aas-pas baraste rahe
tum har sham phulon pe yalghaar karte paniyon pe chalte rahe ho
ye jaante hue bhi ki mere lafz
ret ke chehre pe khinche hue be-sabaat naqsh hain
main ne har ibtida har intiha ka isbaat kiya hai
faslon ki tarah tum sab kuchh nikalte chale gae ho
hamara jhagDa ta-umr jari rahega
mere sanson ke sathi aur dushman:
mere ham-shakl:
muqaddar ki band kitab:
main ne tumhaare raaz jaanne chahe
calendar ki tariKHon mein tumhein paDhna chaha
palkon ke darmiyan tumhaare libas ke na-malum tar bichhae
yaad rakho!
har raushni ne tumhein apne fani shoalon mein lapeTna chaha
magar waqt ki kalid!
tum ne kunjiyon ka guchcha na jaane kis miTTi mein dafn kar diya hai
tum jhuTe lafzon ki tarah
meri ungliyon mein se phisalte chale gae ho
- Book : saugaat-2-3 (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.