meri pahli nazm
sadā kī mānind is baras bhī
tamām kavvoñ ke jhunD koyal mukuT pe qābiz
nashe meñ pāgal phudak rahe haiñ
fat.h pe apnī uchhal rahe haiñ
nirāsh koyal
ki jis ke siine meñ
huuk ban kar
udaas koyal
ki jis kī shah-e-rag pe
kuuk ban kar
hazār naġhme dhaḌak rahe haiñ
vo āshiyāne meñ ban ke gūñgī
paroñ meñ nannhī surīlī dilkash dhuneñ sameTe
sapāT niile falak ko chup-chāp dekhtī hai
jo is baras bhī
ye kah rahā hai
ḳhamosh rahnā
kabhī na kahnā
ki jab bhī koyal kī kuuk gūñjī
ye aap apnā mukuT siyānoñ se chhīn legī
ki jiite jī kyā tirī chahak ko
tirā gharauñdā
tū jis kā mehvar banī huī hai
tū jis meñ zinda chunī huī hai
ki jis kā farsh aur chhat bhī tū hī
jis kī dīvār-o-dar bhī tū hī
tū hī hai jis ghar kā rañg-o-roġhan
vahī tirā terī jaañ gharauñdā
tujhe yā tirī navā ko
zinda rihā karegā
rihā huī to gharauñdā kyā yuuñ sajā rahegā
sada ki manind is baras bhi
tamam kawwon ke jhunD koyal mukuT pe qabiz
nashe mein pagal phudak rahe hain
fath pe apni uchhal rahe hain
nirash koyal
ki jis ke sine mein
huk ban kar
udas koyal
ki jis ki shah-e-rag pe
kuk ban kar
hazar naghme dhaDak rahe hain
wo aashiyane mein ban ke gungi
paron mein nannhi surili dilkash dhunen sameTe
sapaT nile falak ko chup-chap dekhti hai
jo is baras bhi
ye kah raha hai
KHamosh rahna
kabhi na kahna
ki jab bhi koyal ki kuk gunji
ye aap apna mukuT siyanon se chhin legi
ki jite ji kya teri chahak ko
tera gharaunda
tu jis ka mehwar bani hui hai
tu jis mein zinda chuni hui hai
ki jis ka farsh aur chhat bhi tu hi
jis ki diwar-o-dar bhi tu hi
tu hi hai jis ghar ka rang-o-roghan
wahi tera teri jaan gharaunda
tujhe ya teri nawa ko
zinda riha karega
riha hui to gharaunda kya yun saja rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.