meri pur-tashaddud zindagi
ham har sub.h milte haiñ
magar bahut kam guftugū karte haiñ
phir bhī kabhī aisā nahīñ hotā
ki maiñ na sochūñ
ki maiñ ne pichhlā din kaise guzārā thā
maiñ ne Thiik Thiik khānā khāyā thā
kalaf lage kapḌe pahne the
ek car meñ safar kiyā thā
saaf suthrī mez par kaam kiyā thā
ghar kī kuchh purānī chīzeñ
na.ī chīzoñ se badal dene ke liye sochā thā
aur garmī se niiñd na aane par
bil-āḳhir air conditioner on kar diyā thā
tum ne zāhir hai ye sab kuchh nahīñ kiyā thā
ab maiñ apnī pur-tashaddud zindagī ko badalne ke liye
tāqat kahāñ se lā.ūñ
koī doctor to kyā hī batā.egā
kabhī mujh se baat karo
to shāyad tum hī batā sako
hum har subh milte hain
magar bahut kam guftugu karte hain
phir bhi kabhi aisa nahin hota
ki main na sochun
ki main ne pichhla din kaise guzara tha
main ne Thik Thik khana khaya tha
kalaf lage kapDe pahne the
ek car mein safar kiya tha
saf suthri mez par kaam kiya tha
ghar ki kuchh purani chizen
nai chizon se badal dene ke liye socha tha
aur garmi se nind na aane par
bil-aKHir air conditioner on kar diya tha
tum ne zahir hai ye sab kuchh nahin kiya tha
ab main apni pur-tashaddud zindagi ko badalne ke liye
taqat kahan se laun
koi doctor to kya hi bataega
kabhi mujh se baat karo
to shayad tum hi bata sako
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.