meri shaeri aur naqqad
ai mire sher ke naqqād tujhe hai ye gila
ki nahīñ hai mire ehsās meñ sarmastī o kaif
ki nahīñ hai mire anfās meñ bū-e-mai-e-jām
chaman-e-dahr kī taqdīr ki maiñ huuñ vo ghaTā
jis ne sīkhā hī nahīñ abr-e-bahārī kā ḳhirām
raat tārīk hai aur maiñ huuñ vo ik sham-e-hazīñ
jis ke sho.ale meñ nahīñ sub.h-e-daraḳhshāñ kā payām
mere phūloñ meñ sabāon na bahāroñ kā guzar
merī rātoñ meñ sitāroñ na sharāroñ kā guzar
merī mahfil meñ na mutrib na muġhannī kā surūd
mere mai-ḳhāne meñ mauj-e-mai-e-ummīd harām
maiñ vo naqqāsh huuñ khoyā huā bhaTkā naqqāsh
jis ke har naqsh meñ taḳh.īl ke har paikar meñ
muskurātī hai baḌe naaz se rūh-e-ālām
ai mire dost! mire ġham ke parakhne vaale
bas chale merā to lā duuñ tujhe rūh-e-gul-e-tar
baḳhsh duuñ apnī taḌap, apnā junūñ apnī nazar
phir tujhe apne shab o roz kā aalam dikhlā.ūñ
har tabassum meñ tujhe shāibā-e-ġham dikhlā.ūñ
ḳhūn-e-nāhaq pe jo hotā hai vo mātam dikhlā.ūñ
partav-e-ḳhur se jo be-jāñ hai vo shabnam dikhlā.ūñ
tujh ko dikhlā.ūñ ki be-rañg hai kis darja sahar
tīra-o-tār sī ye raat, bhayānak sī fazā
Dagmagāte hue qadmoñ ko mire dost baḌhā
ik zarā aur bulandī pe ḳhudā-rā aa jā
dekh is vus.at-e-tārīk ke sannāTe ko
devtā maut kā khole hue jaise shahpar
aur is vus.at tārīk ke sannāTe meñ
koī chhīne liye jaatā hai sitāroñ kī damak
koī be-nūr kiye detā hai sho.aloñ kī lapak
koī kaliyoñ ko masaltā hai to phir kyā kiije
zaḳhm-e-gul tujh ko mahaknā hai to hañs hañs ke mahak
kaun sayyād kī nazroñ se bhalā bachtā hai
tā.ir-e-gosha-nashīñ! ḳhuub chahak! ḳhuub chahak!
jāgtī zard sī āñkheñ na kaheñ lag jaa.eñ
dard-e-iflās! zarā aur chamak aur chamak!
la.al-o-gauhar ke ḳhazāne bhī kahīñ bharte haiñ
araq-e-mehnat-e-majbūr! Tapak aur Tapak!
hai tire zo.af pe kuchh mastī-e-sahbā kā gumāñ
ai qadam aur bahak! aur bahak aur bahak!
vo chamaktī huī aa.ī tire sar par shamshīr
mizha-e-tiflak-e-māsūm jhapak! jald jhapak!
sīna-e-ḳhāk meñ be-kār huā jaatā hai jazb
ruḳh-e-be-dād pe ai ḳhuun jhalak! aah jhalak!
qatra qatra yūñhī Tapkātā rahegā koī zahr
tū bhī ai sabr ke sāġhar yūñhī tham tham ke chhalak!
maut kā raqs bhī kiyā chiiz hai ai sham-e-hayāt!
haañ zarā aur bhaḌak aur bhaḌak aur bhaḌak!
har taraf kārgah-e-dahr meñ uThtā hai dhuāñ
har taraf maut ke āsār, tabāhī ke nishāñ
sard ajsām batāte nahīñ manzil kā patā
rāheñ vīrān haiñ, milte nahīñ raahī ke nishāñ
zulmat-e-ġham hai ki baḌhtī hī chalī jaatī hai
haañ magar kis ne jalā.e haiñ ye hikmat ke diye
āñkheñ chīḳheñ ki nikal aayā vo ummīd kā chāñd
chauñkā dīvāna ki dāmān-e-darīda ko siye
dauḌā mai-ḳhvār ki ik jām-e-mai-e-tund piye
ḳhvāhish-e-marg mire siine meñ hone lagī zab.h
Dūbte dil ne duā māñgī kī kuchh aur jiye
yak-ba-yak āñdhiyāñ uThne lagīñ har jānib se
aan kī aan maiñ gahnā gayā ummīd kā chāñd
aan kī aan meñ gul ho ga.e hikmat ke diye
na to dīvāne kā dāmān-e-darīda hī silā
na to mai-ḳhvār ko ik qatra-e-sahbā hī milā
badliyāñ chhaTne na paa.ī thiiñ ki phir chhāne lagīñ
bijliyāñ sar pe isī taur se lahrāne lagīñ
jis ke siine meñ hoñ ai dost hazāroñ nāsūr
jīte-jī us ne bhalā chain kabhī paayā hai
aah aa.ī hai mire lab pe to kyūñkar rokūñ
kyā karūñ ashk agar palkoñ pe Dhal aayā hai
lekin ai dost! mire dard ke be-his naqqād
mire aañsū mirī aaheñ bhī to kuchh kahtī haiñ
mirī afsurda nigāheñ bhī to kuchh kahtī haiñ
aur dāġh-e-dil-e-nākām dikhā.ūñ kaise
dil-e-ḳhūñ-gashta kā paiġhām sunā.ūñ kaise
yuuñ to kahne ko ye aañsū haiñ bas ik qatra-e-āb
jin meñ surḳhī dil-e-pur-ḳhūñ kī na soz o tab-o-tāb
par koī narm sā jab raag sunā dete haiñ
yahī aañsū haiñ ki ik aag lagā dete haiñ
chain kab detī haiñ afsurda nigāheñ merī
āñdhiyāñ sīnoñ meñ bhar detī haiñ aaheñ merī
sabr ai dost! abhī sard kahāñ ġham kī aag
lab tak aa.e bhī to jal jā.eñge sab aish ke raag
sabr ai dost ki ik aisā bhī din aa.egā
ḳhaas ik had se guzar jā.egā pastī kā shu.ūr
sīna-e-ḳhāk se phir uTThegā vo shor-e-nushūr
gumbad-e-tīra-e-aflāk bhī tharrā.egā
vo asīrān-e-balā kā dar-e-zindāñ pe hujūm
kāñptī TūTtī zanjīroñ pe raqs-e-be-rabt
raqs-e-be-rabt meñ phir rabt sā aa jā.egā
ġhair ke sāġhar-e-zarpāsh kā phir jo bhī ho hashr
apnā hī jām-e-sifālīñ koī chhalkā.egā
gesū-e-shāhid-e-gītī meñ piro kar motī
koī dīvāna bahut dād-e-junūñ pā.egā
sabr ai dost ki ik aisā bhī din aa.egā
anjuman badlegī sab saaz badal jā.eñge
gaane vāloñ ke bhī andāz badal jā.eñge
ai mere sher ke naqqad tujhe hai ye gila
ki nahin hai mere ehsas mein sarmasti o kaif
ki nahin hai mere anfas mein bu-e-mai-e-jam
chaman-e-dahr ki taqdir ki main hun wo ghaTa
jis ne sikha hi nahin abr-e-bahaari ka KHiram
raat tarik hai aur main hun wo ek sham-e-hazin
jis ke shoale mein nahin subh-e-daraKHshan ka payam
mere phulon mein sabaon na bahaaron ka guzar
meri raaton mein sitaron na shararon ka guzar
meri mahfil mein na mutrib na mughanni ka surud
mere mai-KHane mein mauj-e-mai-e-ummid haram
main wo naqqash hun khoya hua bhaTka naqqash
jis ke har naqsh mein taKHil ke har paikar mein
muskuraati hai baDe naz se ruh-e-alam
ai mere dost! mere gham ke parakhne wale
bas chale mera to la dun tujhe ruh-e-gul-e-tar
baKHsh dun apni taDap, apna junun apni nazar
phir tujhe apne shab o roz ka aalam dikhlaun
har tabassum mein tujhe shaiba-e-gham dikhlaun
KHun-e-nahaq pe jo hota hai wo matam dikhlaun
partaw-e-KHur se jo be-jaan hai wo shabnam dikhlaun
tujh ko dikhlaun ki be-rang hai kis darja sahar
tira-o-tar si ye raat, bhayanak si faza
Dagmagate hue qadmon ko mere dost baDha
ek zara aur bulandi pe KHuda-ra aa ja
dekh is wusat-e-tarik ke sannaTe ko
dewta maut ka khole hue jaise shahpar
aur is wusat tarik ke sannaTe mein
koi chhine liye jata hai sitaron ki damak
koi be-nur kiye deta hai shoalon ki lapak
koi kaliyon ko masalta hai to phir kya kije
zaKHm-e-gul tujh ko mahakna hai to hans hans ke mahak
kaun sayyaad ki nazron se bhala bachta hai
tair-e-gosha-nashin! KHub chahak! KHub chahak!
jagti zard si aankhen na kahen lag jaen
dard-e-iflas! zara aur chamak aur chamak!
lal-o-gauhar ke KHazane bhi kahin bharte hain
araq-e-mehnat-e-majbur! Tapak aur Tapak!
hai tere zoaf pe kuchh masti-e-sahba ka guman
ai qadam aur bahak! aur bahak aur bahak!
wo chamakti hui aai tere sar par shamshir
mizha-e-tiflak-e-masum jhapak! jald jhapak!
sina-e-KHak mein be-kar hua jata hai jazb
ruKH-e-be-dad pe ai KHun jhalak! aah jhalak!
qatra qatra yunhi Tapkata rahega koi zahr
tu bhi ai sabr ke saghar yunhi tham tham ke chhalak!
maut ka raqs bhi kiya chiz hai ai sham-e-hayat!
han zara aur bhaDak aur bhaDak aur bhaDak!
har taraf kargah-e-dahr mein uThta hai dhuan
har taraf maut ke aasar, tabahi ke nishan
sard ajsam batate nahin manzil ka pata
rahen viran hain, milte nahin rahi ke nishan
zulmat-e-gham hai ki baDhti hi chali jati hai
han magar kis ne jalae hain ye hikmat ke diye
aankhen chiKHen ki nikal aaya wo ummid ka chand
chaunka diwana ki daman-e-darida ko siye
dauDa mai-KHwar ki ek jam-e-mai-e-tund piye
KHwahish-e-marg mere sine mein hone lagi zabh
Dubte dil ne dua mangi ki kuchh aur jiye
yak-ba-yak aandhiyan uThne lagin har jaanib se
aan ki aan main gahna gaya ummid ka chand
aan ki aan mein gul ho gae hikmat ke diye
na to diwane ka daman-e-darida hi sila
na to mai-KHwar ko ek qatra-e-sahba hi mila
badliyan chhaTne na pai thin ki phir chhane lagin
bijliyan sar pe isi taur se lahrane lagin
jis ke sine mein hon ai dost hazaron nasur
jite-ji us ne bhala chain kabhi paya hai
aah aai hai mere lab pe to kyunkar rokun
kya karun ashk agar palkon pe Dhal aaya hai
lekin ai dost! mere dard ke be-his naqqad
mere aansu meri aahen bhi to kuchh kahti hain
meri afsurda nigahen bhi to kuchh kahti hain
aur dagh-e-dil-e-nakaam dikhaun kaise
dil-e-KHun-gashta ka paigham sunaun kaise
yun to kahne ko ye aansu hain bas ek qatra-e-ab
jin mein surKHi dil-e-pur-KHun ki na soz o tab-o-tab
par koi narm sa jab rag suna dete hain
yahi aansu hain ki ek aag laga dete hain
chain kab deti hain afsurda nigahen meri
aandhiyan sinon mein bhar deti hain aahen meri
sabr ai dost! abhi sard kahan gham ki aag
lab tak aae bhi to jal jaenge sab aish ke rag
sabr ai dost ki ek aisa bhi din aaega
KHas ek had se guzar jaega pasti ka shuur
sina-e-KHak se phir uTThega wo shor-e-nushur
gumbad-e-tira-e-aflak bhi tharraega
wo asiran-e-bala ka dar-e-zindan pe hujum
kanpti TuTti zanjiron pe raqs-e-be-rabt
raqs-e-be-rabt mein phir rabt sa aa jaega
ghair ke saghar-e-zarpash ka phir jo bhi ho hashr
apna hi jam-e-sifalin koi chhalkaega
gesu-e-shahid-e-giti mein piro kar moti
koi diwana bahut dad-e-junun paega
sabr ai dost ki ek aisa bhi din aaega
anjuman badlegi sab saz badal jaenge
gane walon ke bhi andaz badal jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.