meri shairi
zindagī kī sabhī rāhoñ se guzartā huuñ nadīm
jā.eza letā huuñ har moḌ pe shā.ir kā dimāġh
har badalte hue manzar pe nazar rakhtā huuñ
aur tārīk sī rātoñ meñ jalātā huuñ charāġh
zindagī kī sabhī rāhoñ se guzartā huuñ nadīm
jhilmilāte hue āñchal meñ sukūñ DhūñD chukā
ik tabassum ke liye ek ishāre ke liye
apne jazbāt meñ andāz-e-junūñ DhūñD chukā
zindagī kī sabhī rāhoñ se guzartā huuñ nadīm
parda-e-sāz meñ ik giit chhupāyā thā kabhī
apne ehsās kī parvāz baḌhāne ke liye
yaad hai madh-bharī āñkhoñ ko rulāyā thā kabhī
zindagī kī sabhī rāhoñ se guzartā huuñ nadīm
ye jhapaktī huī palkeñ haiñ ye lab ye ruḳhsār
ye to zulfeñ nahīñ sāvan kī ghaTā.eñ hoñgī
haañ yahī to haiñ ḳhayālāt ke rañgīñ shahkār
zindagī kī sabhī rāhoñ se guzartā huuñ nadīm
maiñ ne ik baar hī chheḌā thā mohabbat kā rabāb
saañs jalne lagī thī jism laraz uTThā thā
maiñ ne piine ke liye sirf uñDelī thī sharāb
zindagī kī sabhī rāhoñ se guzartā huuñ nadīm
husn ko rahguzar-e-ām pe chalte dekhā
ek hī samt ināyāt ke dhāre na rahe
maiñ ne paanī ka.ī sotoñ se ubalte dekhā
zindagī kī sabhī rāhoñ se guzartā huuñ nadīm
maiñ ne ghuTte hue kamre meñ dhuāñ dekhā hai
tañg galiyoñ meñ banāvaT kī hañsī biktī hai
duur ik taaq pe miTTī kā diyā jaltā hai
zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
jaeza leta hun har moD pe shair ka dimagh
har badalte hue manzar pe nazar rakhta hun
aur tarik si raaton mein jalata hun charagh
zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
jhilmilate hue aanchal mein sukun DhunD chuka
ek tabassum ke liye ek ishaare ke liye
apne jazbaat mein andaz-e-junun DhunD chuka
zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
parda-e-saz mein ek git chhupaya tha kabhi
apne ehsas ki parwaz baDhane ke liye
yaad hai madh-bhari aankhon ko rulaya tha kabhi
zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
ye jhapakti hui palken hain ye lab ye ruKHsar
ye to zulfen nahin sawan ki ghaTaen hongi
han yahi to hain KHayalat ke rangin shahkar
zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
main ne ek bar hi chheDa tha mohabbat ka rabab
sans jalne lagi thi jism laraz uTTha tha
main ne pine ke liye sirf unDeli thi sharab
zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
husn ko rahguzar-e-am pe chalte dekha
ek hi samt inayat ke dhaare na rahe
main ne pani kai soton se ubalte dekha
zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim
main ne ghuTte hue kamre mein dhuan dekha hai
tang galiyon mein banawaT ki hansi bikti hai
dur ek taq pe miTTi ka diya jalta hai
- Book : Aina Khane (Pg. 66)
- Author : Akhtar payami
- Publication : Zain Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.