meri tariKH ka lunDa bazar
saarī dukāneñ ik ik kar ke ghuum aayā huuñ
lekin ab tak nañgā huuñ
saare sūrmā shāyad mere qad se bahut baḌe the
un ke kapḌe mere jism pe jaane kaise fiT ā.eñge
aisī aisī haibatnāk zira-baktar meñ chhup kar
maiñ shāyad gum ho jā.ūñ
is tārīḳh ke mīloñ phaile bāzāroñ meñ
mere naap kā koī coat nahīñ hai
shāyad mere qad kā koī sūrmā marā nahīñ hai
sari dukanen ek ek kar ke ghum aaya hun
lekin ab tak nanga hun
sare surma shayad mere qad se bahut baDe the
un ke kapDe mere jism pe jaane kaise fiT aaenge
aisi aisi haibatnak zira-baktar mein chhup kar
main shayad gum ho jaun
is tariKH ke milon phaile bazaron mein
mere nap ka koi coat nahin hai
shayad mere qad ka koi surma mara nahin hai
- Book : siip-volume-35 (Pg. 146)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.