meri tarah
ai mire dushman-e-jāñ
maiñ tujhe aur to kuchh kah nahīñ saktā lekin
kaash taqdīr kabhī tujh ko dikhā.e vo din
jab mohazzab sī tavā.if koī
apne peshe kī mazammat kar ke
tujh se iz.hār-e-mohabbat kar ke
tere a.asāb pe nashshe kī tarah chhā jaa.e
aur tujhe
us kī mohabbat kā yaqīñ aa jaa.e
ai mire dushman-e-jāñ
ai mere dushman-e-jaan
main tujhe aur to kuchh kah nahin sakta lekin
kash taqdir kabhi tujh ko dikhae wo din
jab mohazzab si tawaif koi
apne peshe ki mazammat kar ke
tujh se izhaar-e-mohabbat kar ke
tere aasab pe nashshe ki tarah chha jae
aur tujhe
us ki mohabbat ka yaqin aa jae
ai mere dushman-e-jaan
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 283)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.