middle-class
safed-poshī kī oT meñ be-shumār aaheñ chhupī huī haiñ
qarīn-e-jāñ hai
vahī subuk-sār-e-zindagī kā ḳhayāl aur bas
vo pur-sukūñ din
vo jhilmilātā jahāñ ki jis meñ
ham apne hisse kī zindagī kaash vālihāna guzār paate
ye chhoTī chhoTī sī ḳhvāhisheñ thiiñ
kisī baḌe shahr kī ka.ī manzila imārat se gir paḌīñ haiñ
phir un kā malba sameT kar ham
bataur īñdhan najis mashīnoñ meñ jhok aa.e
vo ḳhvāhisheñ ab dhuāñ dhuāñ haiñ
dhuāñ jo dil se nikal rahā hai
dhuāñ jo dil meñ utar rahā hai
jo roz-o-shab kā hisār ban kar
aziyyatoñ ke muhīb saa.e meñ Dhal rahā hai
magar ye saa.e zamāne-bhar kī tamāzatoñ ke muqāble meñ
kisī bhī ne.amat se kam nahīñ haiñ
lihāzā un par bhī ab usuul talab rasad kā nafāz hogā
hisāb-o-dftar ye mez kursī ke ba.ad ma.alūm ho sakegā
ki apnī gum-gashta hasratoñ ke sahāb meñ se
hamāre hisse meñ kyā bachā hai
hamārī qismat meñ likhā hai
bisāt-e-nau ke hamīñ khilāḌī hamī khilaune
hameñ tamāsha lagāne vaale
hameñ fasāna banāne vaale
magar hamārā na tazkira hai kahāniyoñ meñ
kisī tamāshe meñ koī kirdār tak nahīñ hai
fanā ke naġhme rijā.iyat ke suroñ meñ gaanā
hameñ sikhāyā hai zindagī ne
yahī batāyā hai zindagī ne
hamāre ġham kā nisāb tai hai
hamārī manzil bhī tai-shuda hai
ki us se aage guzar hamārā
agar huā bhī to vājibī sā
vo ḳhvāb saare jo ham ne dekhe
sarāb nikle azaab nikle
ye zindagī bhī ajiib shai hai
ki us ko paane meñ kho diyā hai usī ko ham ne
safed-poshi ki oT mein be-shumar aahen chhupi hui hain
qarin-e-jaan hai
wahi subuk-sar-e-zindagi ka KHayal aur bas
wo pur-sukun din
wo jhilmilata jahan ki jis mein
hum apne hisse ki zindagi kash walihana guzar pate
ye chhoTi chhoTi si KHwahishen thin
kisi baDe shahr ki kai manzila imarat se gir paDin hain
phir un ka malba sameT kar hum
bataur indhan najis mashinon mein jhok aae
wo KHwahishen ab dhuan dhuan hain
dhuan jo dil se nikal raha hai
dhuan jo dil mein utar raha hai
jo roz-o-shab ka hisar ban kar
aziyyaton ke muhib sae mein Dhal raha hai
magar ye sae zamane-bhar ki tamazaton ke muqable mein
kisi bhi neamat se kam nahin hain
lihaza un par bhi ab usul talab rasad ka nafaz hoga
hisab-o-dftar ye mez kursi ke baad malum ho sakega
ki apni gum-gashta hasraton ke sahab mein se
hamare hisse mein kya bacha hai
hamari qismat mein likha hai
bisat-e-nau ke hamin khilaDi hami khilaune
hamein tamasha lagane wale
hamein fasana banane wale
magar hamara na tazkira hai kahaniyon mein
kisi tamashe mein koi kirdar tak nahin hai
fana ke naghme rijaiyat ke suron mein gana
hamein sikhaya hai zindagi ne
yahi bataya hai zindagi ne
hamare gham ka nisab tai hai
hamari manzil bhi tai-shuda hai
ki us se aage guzar hamara
agar hua bhi to wajibi sa
wo KHwab sare jo hum ne dekhe
sarab nikle azab nikle
ye zindagi bhi ajib shai hai
ki us ko pane mein kho diya hai usi ko hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.