middle-class
tumheñ mālūm hai nā
hamārā sahn chhoTā hai aur us meñ chand ḳhvāb hī ba-mushkil puure utarte haiñ
itnā khānā jo ghar meñ aa.e mehmān par bhī puurā ho
maañ kī davā.eñ vaqt par aa jaa.eñ
baap ko aḳhbār roz miltā rahe
bachchoñ ko qadre-behtar schōl meñ paḌhā sakeñ
bahan kī shādī ho jaa.e bhaa.ī bhī kisī qābil ho jaa.e
maiñ bāhar jā kar tumhāre maañ baap ke liye bhī kuchh karūñgā
vāpas jab ā.uñgā tumheñ kañgan dilvā dūñgā
yahīñ kahīñ koī chhoTī sī dukān banā lūñgā
so ye sab puurā karne ko vo bāhar des chalā gayā hai
use rozgār mil gayā hai sab achchhā chal rahā hai
lekin kuchh ḳhvāhisheñ haiñ nā-tamām ḳhvāhisheñ
kabhī ikaTThe icecream khānā
us ke kañdhe par sar rakh kar so jaanā
kabhī muskurānā kabhī ro denā
kisī shaam halkī phuvār meñ yūñhī us ke sañg bāhar nikal jaanā
chhe saal ho ga.e haiñ
vo duur des meñ hai aur maiñ tanhā
ḳhvāhisheñ hasrat kā ruup dhaar chukī haiñ
magar mere ghar kā āñgan bahut chhoTā hai
merī hasratoñ kī jagah nahīñ hai us meñ
so maiñ bahut ḳhush huuñ muskurātī rahtī huuñ
shukr hai sab achchhā chal rahā hai
vo duur des gayā hai
tumhein malum hai na
hamara sahn chhoTa hai aur us mein chand KHwab hi ba-mushkil pure utarte hain
itna khana jo ghar mein aae mehman par bhi pura ho
man ki dawaen waqt par aa jaen
bap ko aKHbar roz milta rahe
bachchon ko qadre-behtar school mein paDha saken
bahan ki shadi ho jae bhai bhi kisi qabil ho jae
main bahar ja kar tumhaare man bap ke liye bhi kuchh karunga
wapas jab aaunga tumhein kangan dilwa dunga
yahin kahin koi chhoTi si dukan bana lunga
so ye sab pura karne ko wo bahar des chala gaya hai
use rozgar mil gaya hai sab achchha chal raha hai
lekin kuchh KHwahishen hain na-tamam KHwahishen
kabhi ikaTThe icecream khana
us ke kandhe par sar rakh kar so jaana
kabhi muskurana kabhi ro dena
kisi sham halki phuwar mein yunhi us ke sang bahar nikal jaana
chhe sal ho gae hain
wo dur des mein hai aur main tanha
KHwahishen hasrat ka rup dhaar chuki hain
magar mere ghar ka aangan bahut chhoTa hai
meri hasraton ki jagah nahin hai us mein
so main bahut KHush hun muskuraati rahti hun
shukr hai sab achchha chal raha hai
wo dur des gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.