sub.h-e-sādiq kī tarah raushan hai baapū terī zaat
zau-fishāñ hai hind kī tārīḳh meñ terā sabāt
paak bātin paak tīnat azm ke koh-e-girāñ
ḳhādim-e-qaum-o-vatan ai nāzish-e-hindostāñ
ḳhūbiyoñ se dast-e-qudrat ne sañvārā hai tujhe
irtiqā.ī manziloñ ne jab pukārā hai tujhe
tere aḳhlāq-o-mohabbat kā ajab andāz hai
jis ko dekho aaj vo terā hī ham-āvāz hai
terī pā-mardī ne zanjīr-e-ġhulāmī toḌ dī
mil gayā svārāj jab baapū to duniyā chhoḌ dī
tere istiqlāl par saarā zamāna dang thā
jang-e-āzādī ke laḌne kā nirālā Dhang thā
terī koshish se banā hindostāñ jannat-nishāñ
rāsta tū ne dikhāyā ban ke mīr-e-kārvāñ
aaj sar par hind ke fat.h-o-zafar kā taaj hai
tū diloñ meñ jalva-gar terā diloñ par raaj hai
is badalte daur meñ ye shān-o-azmat hai terī
mulk-o-millat ko bahut ab bhī zarūrat hai terī
qaum kā ik gauhar-e-nāyāb thā jo kho gayā
qaum kā ik jazba-e-betāb thā jo so gayā
rāsta batlā ke ai 'takmīl' vo rahbar gayā
aane vāloñ ke liye hamvār rāheñ kar gayā
subh-e-sadiq ki tarah raushan hai bapu teri zat
zau-fishan hai hind ki tariKH mein tera sabaat
pak baatin pak tinat azm ke koh-e-giran
KHadim-e-qaum-o-watan ai nazish-e-hindostan
KHubiyon se dast-e-qudrat ne sanwara hai tujhe
irtiqai manzilon ne jab pukara hai tujhe
tere aKHlaq-o-mohabbat ka ajab andaz hai
jis ko dekho aaj wo tera hi ham-awaz hai
teri pa-mardi ne zanjir-e-ghulami toD di
mil gaya swaraj jab bapu to duniya chhoD di
tere istiqlal par sara zamana dang tha
jang-e-azadi ke laDne ka nirala Dhang tha
teri koshish se bana hindostan jannat-nishan
rasta tu ne dikhaya ban ke mir-e-karwan
aaj sar par hind ke fath-o-zafar ka taj hai
tu dilon mein jalwa-gar tera dilon par raj hai
is badalte daur mein ye shan-o-azmat hai teri
mulk-o-millat ko bahut ab bhi zarurat hai teri
qaum ka ek gauhar-e-nayab tha jo kho gaya
qaum ka ek jazba-e-betab tha jo so gaya
rasta batla ke ai 'takmil' wo rahbar gaya
aane walon ke liye hamwar rahen kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.