mir ho mirza ho mera ji ho
miir ho mirzā ho miirā jī ho
nā-rasā haath kī nam-nākī hai
ek hī chīḳh hai furqat ke bayābānoñ meñ
ek hī tūl-e-alam-nākī hai
ek hī ruuh jo behāl hai zindānoñ meñ
ek hī qaid tamannā kī hai
ahd-e-rafta ke bahut ḳhvāb tamannā meñ haiñ
aur kuchh vāhme ā.inda ke
phir bhī andesha vo ā.īna hai jis meñ goyā
miir ho mirzā ho miirā jī ho
kuchh nahīñ dekhte haiñ
mahvar-e-ishq kī ḳhud-mast haqīqat ke sivā
apne hī biim o rajā apnī hī sūrat ke sivā
apne rañg apne badan apne hī qāmat ke sivā
apnī tanhā.i-e-jāñ-kāh kī dahshat ke sivā!
dil-ḳharāshī o jigar-chākī o ḳhūñ-afshānī
huuñ to nākām pe hote haiñ mujhe kaam bahut
mudda.ā mahv-e-tamāshā-e-shikast-e-dil hai
ā.ina-ḳhāne meñ koī liye jaatā hai mujhe
raat ke phaile añdhere meñ koī saayā na thā
chāñd ke aane pe saa.e aa.e
saa.e hilte hue ghulte hue kuchh bhuut se ban jaate haiñ
miir ho mirzā ho miirā jī ho
apnī hī zaat kī ġhirbāl meñ chhan jaate haiñ
dil-ḳharāshīda ho ḳhūñ-dāda rahe
ā.ina-ḳhāne ke rezoñ pe ham istāda rahe
chāñd ke aane pe saa.e bahut aa.e bhī
ham bahut sāyoñ se ghabrā.e bhī
miir ho mirzā ho miirā jī ho
aaj jaañ ik na.e hañgāme meñ dar aa.ī hai
māh-e-be-sāya kī dārā.ī hai
yaad vo ishrat-e-ḳhūñ-nāb kise
fursat-e-ḳhvāb kise
mir ho mirza ho mera ji ho
na-rasa hath ki nam-naki hai
ek hi chiKH hai furqat ke bayabanon mein
ek hi tul-e-alam-naki hai
ek hi ruh jo behaal hai zindanon mein
ek hi qaid tamanna ki hai
ahd-e-rafta ke bahut KHwab tamanna mein hain
aur kuchh wahme aainda ke
phir bhi andesha wo aaina hai jis mein goya
mir ho mirza ho mera ji ho
kuchh nahin dekhte hain
mahwar-e-ishq ki KHud-mast haqiqat ke siwa
apne hi bim o raja apni hi surat ke siwa
apne rang apne badan apne hi qamat ke siwa
apni tanhai-e-jaan-kah ki dahshat ke siwa!
dil-KHarashi o jigar-chaaki o KHun-afshani
hun to nakaam pe hote hain mujhe kaam bahut
muddaa mahw-e-tamasha-e-shikast-e-dil hai
aaina-KHane mein koi liye jata hai mujhe
raat ke phaile andhere mein koi saya na tha
chand ke aane pe sae aae
sae hilte hue ghulte hue kuchh bhut se ban jate hain
mir ho mirza ho mera ji ho
apni hi zat ki ghirbaal mein chhan jate hain
dil-KHarashida ho KHun-dada rahe
aaina-KHane ke rezon pe hum istada rahe
chand ke aane pe sae bahut aae bhi
hum bahut sayon se ghabrae bhi
mir ho mirza ho mera ji ho
aaj jaan ek nae hangame mein dar aai hai
mah-e-be-saya ki darai hai
yaad wo ishrat-e-KHun-nab kise
fursat-e-KHwab kise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.