Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mira-ji sahib

Jameeluddin Aali

mira-ji sahib

Jameeluddin Aali

MORE BYJameeluddin Aali

    ''mīrā-jī ko mānne vaale kam haiñ lekin ham bhī haiñ

    'faiz' baat baḌī hai phir bhī ab vaisā kaun ā.egā''

    taz.īn-e-suḳhan fikr na kar be-sāḳhta chal

    uTh āñkheñ mal

    vo kāmil dīvān aa gayā

    duniyā bhar ko dahlā gayā

    haañ maan liyā par bahr kyā badle badlī har bahr badalne vaalī hai

    jis rau meñ samundar laakh bhare vo rau phir chalne vaalī hai

    jab ham ne paḌhā kab chavvan meñ ka.ī na.e to un ko pahchāne

    kuchh sikka-band taraqqī-pasand is jur.at par bhī burā maane

    aur ham se ho ga.e begāne

    yuuñ bhī koī ham ko kyā jaane

    aur jab ye chhapā aTThāvan meñ to 'faiz' bahut aage the

    jeleñ afsāne majmūye

    kuchh aisā ro.ab huā qaa.em sab un ke jilau meñ bhāge the

    ham jaise bhī un ke malbūsāt meñ kachche-pakke dhāge the

    phir vaqt palḌā sirf siyāsat aur tash.hīr meñ jhuul gayā

    do chaar purāne jame rahe par 'mīrā-jī' ko ek zamāna bhuul gayā

    kam ahl-e-suḳhan kam ahl-e-nazar ko yaad rahā

    koī 'mīrā-jī' bhī shā.er thā

    vo pakistan nahīñ aa.e

    kaise aate

    koī ishq ke zor pe bulvātā to aa jaate

    bamba.ī meñ nañge bhūke aur bīmār rahe

    vaañ aḳhtar-ul-īmān un ke dost murabbī ḳhādim bistar-e-marg aur qabr talak ġham-ḳhvār rahe

    yaañ un ke sāhib-e-quvvat chāhne vaale bhī do vaqt roTiyāñ dene ko bulvā na sake

    ye apne apne zamīr pe hai kyā kahvā.e aur ab bhī kyā kahvā na sake

    āsān-tarīn bayāñ ye hogā bulvāyā par aa na sake

    aur ab un dīvān chhapā

    dobāra vahī darbār sajā

    kyā gahrā chauḌā dariyā hai

    kin kin samtoñ meñ bahtā hai

    jag bhar se ḳhazāne letā hai

    jag bhar ko ko ḳhazāne detā hai

    kyā is meñ safīne bahne lage

    sab un ko qasīde kahne lage

    ab 'faiz' bhī haiñ aur 'rāshid' bhī

    vo bahut baḌe par 'mīrā-jī'

    haañ 'mīrā-jī' vo chamakte haiñ

    kyā kyā hiire kyā kyā motī kis shaan ke saath damakte haiñ

    ai yār-e-ġhayāb 'majīd-amjad'

    ḳhāmosh shikār-e-rashk-o-hasad

    be-tash.hīrī ke said-e-zabūñ

    kab jhang meñ aa kar tujh se kahūñ

    le vo sach vāpas aayā hai

    jo jis haq ho ek na ek din us ne puurā paayā hai

    mira-ji ko manne wale kam hain lekin hum bhi hain

    'faiz' ki baat baDi hai phir bhi ab waisa kaun aaega

    tazin-e-suKHan ki fikr na kar be-saKHta chal

    uTh aankhen mal

    wo kaamil diwan aa hi gaya

    duniya bhar ko dahla hi gaya

    han man liya par bahr ka kya badle badli har bahr badalne wali hai

    jis rau mein samundar lakh bhare wo rau phir chalne wali hai

    jab hum ne paDha kab chawwan mein kai nae to un ko pahchane

    kuchh sikka-band taraqqi-pasand is jurat par bhi bura mane

    aur hum se ho gae begane

    yun bhi koi hum ko kya jaane

    aur jab ye chhapa aTThawan mein to 'faiz' bahut hi aage the

    jelen afsane majmuye

    kuchh aisa roab hua qaem sab un ke jilau mein bhage the

    hum jaise bhi un ke malbusat mein kachche-pakke dhage the

    phir waqt ka palDa sirf siyasat aur tashhir mein jhul gaya

    do chaar purane jame rahe par 'mira-ji' ko ek zamana bhul gaya

    kam ahl-e-suKHan kam ahl-e-nazar ko yaad raha

    koi 'mira-ji' bhi shaer tha

    wo pakistan nahin aae

    kaise aate

    koi ishq ke zor pe bulwata to aa jate

    bambai mein nange bhuke aur bimar rahe

    wan aKHtar-ul-iman hi un ke dost murabbi KHadim bistar-e-marg aur qabr talak gham-KHwar rahe

    yan un ke sahib-e-quwwat chahne wale bhi do waqt ki roTiyan dene ko bulwa na sake

    ye apne apne zamir pe hai kya kahwae aur ab bhi kya kahwa na sake

    aasan-tarin bayan ye hoga bulwaya par aa na sake

    aur ab un ka diwan chhapa

    dobara wahi darbar saja

    kya gahra chauDa dariya hai

    kin kin samton mein bahta hai

    jag bhar se KHazane leta hai

    jag bhar ko ko KHazane deta hai

    kya is mein safine bahne lage

    sab un ko qaside kahne lage

    ab 'faiz' bhi hain aur 'rashid' bhi

    wo bahut baDe par 'mira-ji'

    han 'mira-ji' wo chamakte hain

    kya kya hire kya kya moti kis shan ke sath damakte hain

    ai yar-e-ghayab 'majid-amjad'

    KHamosh shikar-e-rashk-o-hasad

    be-tashhiri ke said-e-zabun

    kab jhang mein aa kar tujh se kahun

    le wo sach wapas aaya hai

    jo jis ka haq ho ek na ek din us ne pura paya hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now