miras
maiñ ne apne aabā kī kitāboñ ko
kaaTh kī ūñchī aur mazbūt almāriyoñ se nikāl kar ḳhuub paḌhā hai
un kī ḳhushbū sūñghī hai
un kī dhūloñ ko chāTā hai
apnī nok-e-zabāñ se aksar
aur varaq ke baa.eñ aur
nīche kī jānib
paan kī piik se giilā kar ke
palTe ga.e safhoñ par
un kī shahādat kī uñgliyoñ ke nishāñ paa.e haiñ
main ne apne aaba ki kitabon ko
kaTh ki unchi aur mazbut almariyon se nikal kar KHub paDha hai
un ki KHushbu sunghi hai
un ki dhulon ko chaTa hai
apni nok-e-zaban se aksar
aur waraq ke baen aur
niche ki jaanib
pan ki pik se gila kar ke
palTe gae safhon par
un ki shahadat ki ungliyon ke nishan pae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.